Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo mere haal-e-dil se is qadar bhi be-KHabar hoga

Sandeep Koul Nadim

wo mere haal-e-dil se is qadar bhi be-KHabar hoga

Sandeep Koul Nadim

MORE BYSandeep Koul Nadim

    vo mere hāl-e-dil se is qadar bhī be-ḳhabar hogā

    ḳhabar kyā thī ki yuuñ behis vo merā ham-safar hogā

    ki ham to umr bhar laḌne ḳhvāhish le ke aa.e the

    ḳhabar kyā thī ki vaqt-e-faisla yuuñ muḳhtasar hogā

    charāġh-e-ġham jalāyā thā ujāloñ umīdoñ meñ

    ḳhabar kyā thī mirī koshish ulTā asar hogā

    dabe sho.aloñ ko bhaḌkāyā ki un āshiyāñ sulge

    ḳhabar kyā thī jalegā jo mirā apnā ghar hogā

    vo jab ruḳhsat huā us ko pukārā bhī nahīñ ham ne

    ḳhabar kyā thī pachhtāvā hameñ phir umr bhar hogā

    jahāñ merī har ik hasrat haqīqat meñ badal jaa.e

    ḳhabar kyā thī mire ḳhvāboñ vo sāhil kidhar hogā

    jise ham DhūñDhte phirte the ḳhvāboñ meñ ḳhayāloñ meñ

    ḳhabar kyā thī vo sadiyoñ se hamārā muntazir hogā

    wo mere haal-e-dil se is qadar bhi be-KHabar hoga

    KHabar kya thi ki yun behis wo mera ham-safar hoga

    ki hum to umr bhar laDne ki KHwahish le ke aae the

    KHabar kya thi ki waqt-e-faisla yun muKHtasar hoga

    charagh-e-gham jalaya tha ujalon ki umidon mein

    KHabar kya thi meri koshish ka ulTa hi asar hoga

    dabe shoalon ko bhaDkaya ki un ka aashiyan sulge

    KHabar kya thi jalega jo mera apna hi ghar hoga

    wo jab ruKHsat hua us ko pukara bhi nahin hum ne

    KHabar kya thi ki pachhtawa hamein phir umr bhar hoga

    jahan meri har ek hasrat haqiqat mein badal jae

    KHabar kya thi mere KHwabon ka wo sahil kidhar hoga

    jise hum DhunDhte phirte the KHwabon mein KHayalon mein

    KHabar kya thi wo sadiyon se hamara muntazir hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now