Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo mere shisha-e-dil par KHarash chhoD gaya

Hira Nand Soz

wo mere shisha-e-dil par KHarash chhoD gaya

Hira Nand Soz

MORE BYHira Nand Soz

    vo mere shīsha-e-dil par ḳharāsh chhoḌ gayā

    dayār-e-rūh meñ ik irti'āsh chhoḌ gayā

    qadam qadam pe huā jab munāfiqat shikār

    to apne shahr vo būd-o-bāsh chhoḌ gayā

    vahāñ se manzil-e-irfān-e-zāt duur na thī

    vo jis maqām pe us talāsh chhoḌ gayā

    vo shaḳhs aap qātil thā aap maqtūl

    jahāñ jahāñ bhī gayā apnī laash chhoḌ gayā

    kamāl darja thā us meñ shu.ūr-e-tīsha-garī

    mire vujūd ko vo paash paash chhoḌ gayā

    thā us ke dast-e-hunar meñ bhī āzarī kamāl

    magar vo apnā but nā-tarāsh chhoḌ gayā

    wo mere shisha-e-dil par KHarash chhoD gaya

    dayar-e-ruh mein ek irti'ash chhoD gaya

    qadam qadam pe hua jab munafiqat ka shikar

    to apne shahr ki wo bud-o-bash chhoD gaya

    wahan se manzil-e-irfan-e-zat dur na thi

    wo jis maqam pe us ki talash chhoD gaya

    wo shaKHs aap hi qatil tha aap hi maqtul

    jahan jahan bhi gaya apni lash chhoD gaya

    kamal darja tha us mein shuur-e-tisha-gari

    mere wujud ko wo pash pash chhoD gaya

    tha us ke dast-e-hunar mein bhi aazari ka kamal

    magar wo apna hi but na-tarash chhoD gaya

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 305)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2013-14
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now