Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo mera kasrat-e-anwar se hairan hona

Daud Nishat

wo mera kasrat-e-anwar se hairan hona

Daud Nishat

MORE BYDaud Nishat

    vo mirā kasrat-e-anvār se hairāñ honā

    har taraf tūr-ba-kaf un numāyāñ honā

    kis qadar hai tirī rahmat pe bharosā yā-rab

    mujh ko aayā na gunāhoñ pe pashemāñ honā

    ahl-e-dil chal to diye haiñ dar-e-jānāñ taraf

    kis qismat meñ hai ḳhāk-e-dar-e-jānāñ honā

    un ke va.ade ḳhushī ye mukammal hai subūt

    shaam se pahle mire ghar meñ charāġhāñ honā

    aadmī chāhe to koshish se farishta ban jaa.e

    saḳht dushvār hai us magar insāñ honā

    faiz ye mere junūñ hai chaman meñ jaarī

    ġhunchoñ ne siikh liyā chāk-garebāñ honā

    jis meñ afsurda hoñ ġhunche bhī bahāreñ bhī 'nashāt'

    qābil-e-faḳhr kahāñ us gulistāñ honā

    wo mera kasrat-e-anwar se hairan hona

    har taraf tur-ba-kaf un ka numayan hona

    kis qadar hai teri rahmat pe bharosa ya-rab

    mujh ko aaya na gunahon pe pasheman hona

    ahl-e-dil chal to diye hain dar-e-jaanan ki taraf

    kis ki qismat mein hai KHak-e-dar-e-jaanan hona

    un ke wade ki KHushi ka ye mukammal hai subut

    sham se pahle mere ghar mein charaghan hona

    aadmi chahe to koshish se farishta ban jae

    saKHt dushwar hai us ka magar insan hona

    faiz ye mere junun ka hai chaman mein jari

    ghunchon ne sikh liya chaak-gareban hona

    jis mein afsurda hon ghunche bhi bahaaren bhi 'nashat'

    qabil-e-faKHr kahan us ka gulistan hona

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now