wo mere hote kisi aur ko chahen had hai
vo mire hote kisī aur ko chāheñ had hai
mujh ko dānista sar-e-bazm jalā.eñ had hai
toḌ deñ 'ahd-e-vafā vo to koī jurm nahīñ
ham pe lāzim hai bahar-hāl nibhā.eñ had hai
jab bhī jī chāhe vo bas jaa.eñ nigāhoñ meñ mirī
pher leñ phir dil-e-muztar se nigāheñ had hai
nīm-jāñ pahle se huuñ jalva-e-jānāñ kī qasam
vo haTāte bhī nahīñ mujh se nigāheñ had hai
ḳhud jo 'aarī haiñ mohabbat ke har ik pahlū se
ham ko ādāb-e-mohabbat vo sikhā.eñ had hai
vo hameñ chāheñ na chāheñ ye hai un kī marzī
un kī ye zid hai magar ham unheñ chāheñ had hai
apne vā'doñ kā jinheñ paas nahīñ vo 'maz.har'
'ahd-o-paimāñ kā sabaq ham ko paḌhā.eñ had hai
wo mere hote kisi aur ko chahen had hai
mujh ko danista sar-e-bazm jalaen had hai
toD den 'ahd-e-wafa wo to koi jurm nahin
hum pe lazim hai bahar-haal nibhaen had hai
jab bhi ji chahe wo bas jaen nigahon mein meri
pher len phir dil-e-muztar se nigahen had hai
nim-jaan pahle se hun jalwa-e-jaanan ki qasam
wo haTate bhi nahin mujh se nigahen had hai
KHud jo 'ari hain mohabbat ke har ek pahlu se
hum ko aadab-e-mohabbat wo sikhaen had hai
wo hamein chahen na chahen ye hai un ki marzi
un ki ye zid hai magar hum unhen chahen had hai
apne wa'don ka jinhen pas nahin wo 'mazhar'
'ahd-o-paiman ka sabaq hum ko paDhaen had hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.