Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo meri raaten meri aankhon mein aa kar le gai

Kunwar Bechain

wo meri raaten meri aankhon mein aa kar le gai

Kunwar Bechain

MORE BYKunwar Bechain

    vo mirī rāteñ mirī āñkhoñ meñ aa kar le ga.ī

    yaad terī chor thī nīñdeñ churā kar le ga.ī

    zindagī Diary meñ ek to giit thā

    koī mīThī dhun use bhī gungunā kar le ga.ī

    sardiyoñ gungunī dhuup ke ehsās tak

    mere man chāñdnī mujh ko bulā kar le ga.ī

    ek ḳhushbū maiñ apnī pankhuḌī meñ band thā

    aa.ī ik pāgal havā mujh ko uḌā kar le ga.ī

    raah meñ thak kar jahāñ baiThī agar ye zindagī

    maut aa.ī baañh thāmī aur uThā kar le ga.ī

    varna bhī raah meñ girtā chalā jaatā 'kuñvar'

    vo to ik Thokar thī jo tujh ko bachā kar le ga.ī

    wo meri raaten meri aankhon mein aa kar le gai

    yaad teri chor thi ninden chura kar le gai

    zindagi ki Diary mein ek hi to git tha

    koi miThi dhun use bhi gunguna kar le gai

    sardiyon ki gunguni si dhup ke ehsas tak

    mere man ki chandni mujh ko bula kar le gai

    ek KHushbu sa main apni pankhuDi mein band tha

    aai ek pagal hawa mujh ko uDa kar le gai

    rah mein thak kar jahan baiThi agar ye zindagi

    maut aai banh thami aur uTha kar le gai

    warna tu bhi rah mein girta chala jata 'kunwar'

    wo to ek Thokar thi jo tujh ko bacha kar le gai

    Source:

    Aandhiyo Dheere Chalo (Pg. 25)

    • Author: Kunwar Bechain
      • Edition: 2014
      • Publisher: Vani Prakashan
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now