wo meri tarh sina-chaak nahin
vo mirī tarh sīna-chāk nahīñ
pur-takalluf hai pur-tapāk nahīñ
dil kā qissa bahut rulātā hai
kaun sā baab dardnāk nahīñ
hai dimāġh āsmān par merā
go mirī dastaras meñ ḳhaak nahīñ
aa rahe haiñ idhar udhar ke ḳhayāl
aaj piine meñ inhimāk nahīñ
is meñ shāmil nahīñ lifāfa-e-dost
Dākiye ye hamārī Daak nahīñ
aap kyā haiñ 'sha'ūr' koī bhī
basharī ḳhāmiyoñ se paak nahīñ
wo meri tarh sina-chaak nahin
pur-takalluf hai pur-tapak nahin
dil ka qissa bahut rulata hai
kaun sa bab dardnak nahin
hai dimagh aasman par mera
go meri dastaras mein KHak nahin
aa rahe hain idhar udhar ke KHayal
aaj pine mein inhimak nahin
is mein shamil nahin lifafa-e-dost
Dakiye ye hamari Dak nahin
aap kya hain 'sha'ur' koi bhi
bashari KHamiyon se pak nahin
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 75)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.