Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo misl-e-mauj-e-bahaar apne shabab ki samt aa rahe hain

Kashfi Lucknavi

wo misl-e-mauj-e-bahaar apne shabab ki samt aa rahe hain

Kashfi Lucknavi

MORE BYKashfi Lucknavi

    vo misl-e-mauj-e-bahār apne shabāb samt aa rahe haiñ

    diloñ ke ġhunche khilā rahe haiñ nazar dāman sajā rahe haiñ

    har ek zarre meñ har fazā meñ vo husn ban kar samā rahe haiñ

    hamārī tāb-e-nigāh ko vo har ā.īna aazmā rahe haiñ

    hamāre aañsū sunā rahe haiñ shikasta dil fasāna un ko

    magar qayāmat baat hai ye vo sun ke bhī muskurā rahe haiñ

    dil-o-jigar ḳhuun ho chuke haiñ hamāre lab par magar hañsī hai

    ham apne afsāna-e-vafā ko kuchh aur rañgīñ banā rahe haiñ

    jo mahv-e-zulm-o-sitam thā kal tak vo aaj shāyad badal gayā ho

    ye aarzū le ke ham dobāra kisī ke kūche meñ rahe haiñ

    falak andāz kah rahā hai hamāre armāñ ḳhuun hogā

    abhī to āġhāz-e-shab hai āḳhir sitāre kyuuñ jhilmilā rahe haiñ

    hamārī qismat pher dekho talāsh-e-manzil meñ umr guzrī

    magar jahāñ se chale the kashfī vahīñ pe ham ḳhud ko rahe haiñ

    wo misl-e-mauj-e-bahaar apne shabab ki samt aa rahe hain

    dilon ke ghunche khila rahe hain nazar ka daman saja rahe hain

    har ek zarre mein har faza mein wo husn ban kar sama rahe hain

    hamari tab-e-nigah ko wo har aaina aazma rahe hain

    hamare aansu suna rahe hain shikasta dil ka fasana un ko

    magar qayamat ki baat hai ye wo sun ke bhi muskura rahe hain

    dil-o-jigar KHun ho chuke hain hamare lab par magar hansi hai

    hum apne afsana-e-wafa ko kuchh aur rangin bana rahe hain

    jo mahw-e-zulm-o-sitam tha kal tak wo aaj shayad badal gaya ho

    ye aarzu le ke hum dobara kisi ke kuche mein ja rahe hain

    falak ka andaz kah raha hai hamare arman ka KHun hoga

    abhi to aaghaz-e-shab hai aaKHir sitare kyun jhilmila rahe hain

    hamari qismat ka pher dekho talash-e-manzil mein umr guzri

    magar jahan se chale the kashfi wahin pe hum KHud ko pa rahe hain

    Source:

    Saaz-o-Naghma (Pg. 46)

    • Author: Kashfi Lucknavi
      • Edition: 1971
      • Publisher: Idara Farogh-e-Urdu, Lucknow
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now