wo mujhse dur haTti ja rahi hai
vo mujh se duur haTtī jā rahī hai
diye kī lau simaTtī jā rahī hai
maiñ ḳhush huuñ aur merī zindagī ab
bahut tezī se ghaTtī jā rahī hai
sadā.eñ āsmāñ tak yuuñ na pahuñcheñ
zamīñ jaise lipaTtī jā rahī hai
hamāre ḳhvāb puure ho rahe haiñ
hamārī niiñd ghaTtī jā rahī hai
hamāre darmiyāñ thī yaad kī Dor
jo ik jānib se kaTtī jā rahī hai
wo mujh se dur haTti ja rahi hai
diye ki lau simaTti ja rahi hai
main KHush hun aur meri zindagi ab
bahut tezi se ghaTti ja rahi hai
sadaen aasman tak yun na pahunchen
zamin jaise lipaTti ja rahi hai
hamare KHwab pure ho rahe hain
hamari nind ghaTti ja rahi hai
hamare darmiyan thi yaad ki Dor
jo ek jaanib se kaTti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.