Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo mujhse mera taaruf karane aaya tha

Azhar Inayati

wo mujhse mera taaruf karane aaya tha

Azhar Inayati

MORE BYAzhar Inayati

    vo mujh se merā ta.āruf karāne aayā thā

    abhī guzar jo gayā ik aziim lamha thā

    sunā hai maiñ ne yahāñ surḳh ghaas aa ga.ī thī

    vo bādshāh yahīñ apnī jañg haarā thā

    hamārī raat se behtar thī agle vaqt raat

    har ek ghar meñ diyā sub.h tak to jaltā thā

    aziiz mujh ko bhī the naqsh apne maazī ke

    use bhī shauq purānī imāratoñ thā

    ab apne sar tahaffuz bhī aap ḳhud kiije

    fazā meñ aap ne patthar bhī ḳhud uchhālā thā

    gayā to apnī udāsī bhī de gayā mujh ko

    tamām din jo mire saath hañstā rahtā thā

    ab us se ek baḌā naam juḌ gayā 'az.har'

    jo shāh-kār mirī fikr ne banāyā thā

    wo mujh se mera taaruf karane aaya tha

    abhi guzar jo gaya ek azim lamha tha

    suna hai main ne yahan surKH ghas aa gai thi

    wo baadshah yahin apni jang haara tha

    hamari raat se behtar thi agle waqt ki raat

    har ek ghar mein diya subh tak to jalta tha

    aziz mujh ko bhi the naqsh apne mazi ke

    use bhi shauq purani imaraton ka tha

    ab apne sar ka tahaffuz bhi aap KHud kije

    faza mein aap ne patthar bhi KHud uchhaala tha

    gaya to apni udasi bhi de gaya mujh ko

    tamam din jo mere sath hansta rahta tha

    ab us se ek baDa nam juD gaya 'azhar'

    jo shah-kar meri fikr ne banaya tha

    RECITATIONS

    Azhar Inayati

    Azhar Inayati,

    Azhar Inayati

    wo mujhse mera taaruf karane aaya tha Azhar Inayati

    Source:

    Jhunka na-e-mausam kaa (Pg. 28)

    • Author: azhar inaayatii
      • Edition: 2006
      • Publisher: islamic wonders bureau
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now