Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo musalsal chup hai tere samne tanhai mein

Iqbal Sajid

wo musalsal chup hai tere samne tanhai mein

Iqbal Sajid

MORE BYIqbal Sajid

    vo musalsal chup hai tere sāmne tanhā.ī meñ

    sochtā kyā hai utar baat gahrā.ī meñ

    surḳh-rū hone na paayā thā ki piilā paḌ gayā

    chāñd bhī haath thā jazbāt paspā.ī meñ

    be-libāsī na ban jaa.e kahīñ terā libās

    aa.ine ke sāmne pāgal na ho tanhā.ī meñ

    agar phal hai to ḳhud TuuT kar dāman meñ aa

    maiñ na pheñkūñgā koī patthar tirī añgnā.ī meñ

    rāt-bhar vo apne bistar par paḌā rotā rahā

    duur ik āvāz banjar ho ga.ī shahnā.ī meñ

    dā.ere baḌhte ga.e parkār muñh khul gayā

    vo bhī dāḳhil ho gayā ab sarhad-e-rusvā.ī meñ

    habs to dil meñ thā lekin aañkh tap kar rah ga.ī

    raat saarā shahr Duubā dard purvā.ī meñ

    aañkh tak bhī ab jhapakne mujhe fursat nahīñ

    naqsh hai dīvār par tasvīr hai bīnā.ī meñ

    log vāpas ho ga.e 'sājid' numā.ish gaah se

    aur maiñ khoyā rahā ik mahshar-e-ra.anā.ī meñ

    wo musalsal chup hai tere samne tanhai mein

    sochta kya hai utar ja baat ki gahrai mein

    surKH-ru hone na paya tha ki pila paD gaya

    chand ka bhi hath tha jazbaat ki paspai mein

    be-libasi hi na ban jae kahin tera libas

    aaine ke samne pagal na ho tanhai mein

    tu agar phal hai to KHud hi TuT kar daman mein aa

    main na phenkunga koi patthar teri angnai mein

    raat-bhar wo apne bistar par paDa rota raha

    dur ek aawaz banjar ho gai shahnai mein

    daere baDhte gae parkar ka munh khul gaya

    wo bhi daKHil ho gaya ab sarhad-e-ruswai mein

    habs to dil mein tha lekin aankh tap kar rah gai

    raat sara shahr Duba dard ki purwai mein

    aankh tak bhi ab jhapakne ki mujhe fursat nahin

    naqsh hai diwar par taswir hai binai mein

    log wapas ho gae 'sajid' numaish gah se

    aur main khoya raha ek mahshar-e-ranai mein

    Source:

    kulliyat-e-iqbaal saajid (Pg. 139)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now