Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo musht-e-KHak jo parwana-e-dil-gir banti hai

Talib Dehlavi

wo musht-e-KHak jo parwana-e-dil-gir banti hai

Talib Dehlavi

MORE BYTalib Dehlavi

    Interesting Fact

    July, 1942

    vo musht-e-ḳhāk jo parvāna-e-dil-gīr bantī hai

    jigar aag bujh jaatī hai jab iksīr bantī hai

    hayāt-e-jāvedānī haath aatī hai fanā ho kar

    mirī ḳhākistar-e-dil rashk-e-sad-iksīr bantī hai

    na jiinā raas aatā hai na marnā raas aatā hai

    na ye tadbīr bantī hai na vo tadbīr bantī hai

    kuchh apnī ḳhāna-barbādī se andesha nahīñ mujh ko

    mirī do Thokaroñ se ik na.ī ta.amīr bantī hai

    kuchh us fitrat-e-āzād par qaabū nahīñ chaltā

    ye duniyā to har ik ke paañv zanjīr bantī hai

    banāne se kabhī insān qismat nahīñ bantī

    magar banñe pe aatī hai to be-tadbīr bantī hai

    kabhī muḳhtār kar denā kabhī majbūr kar denā

    mujhe ma.alūm hai jaise mirī taqdīr bantī hai

    kisī se mere dil mudda.ā zāhir nahīñ hotā

    mirī bechārgī apnī ḳhud tafsīr bantī hai

    mujhe sharminda-e-ilzām hone zarūrat kyā

    vasīla maġhfirat jab mirī taqsīr bantī hai

    kamāle-rā-zavāle dāḳhil-e-ā.īn-e-qudrat hai

    jo ban kar phir na bigḌe vo kahāñ taqdīr bantī hai

    masarrat yaad aa jaatī hai jab ahd-e-guzishta

    dil-e-māyūs ke haq meñ sinān-o-tīr bantī hai

    jise duniyā meñ dekhā ham ne tujh ko koste dekhā

    kisī se bhī tirī ai āsmān-e-pīr bantī hai

    na jaane kātib-e-qismat pe kyoñ ilzām rakhte haiñ

    ḳhud apne haath se insān taqdīr bantī hai

    bashar miTTī putlā sahī zer-e-falak 'tālib'

    mohabbat se magar ye ḳhaak bhī iksīr bantī hai

    wo musht-e-KHak jo parwana-e-dil-gir banti hai

    jigar ki aag bujh jati hai jab iksir banti hai

    hayat-e-jawedani hath aati hai fana ho kar

    meri KHakistar-e-dil rashk-e-sad-iksir banti hai

    na jina ras aata hai na marna ras aata hai

    na ye tadbir banti hai na wo tadbir banti hai

    kuchh apni KHana-barbaadi se andesha nahin mujh ko

    meri do Thokaron se ek nai tamir banti hai

    kuchh us ka fitrat-e-azad par qabu nahin chalta

    ye duniya to har ek ke panw ki zanjir banti hai

    banane se kabhi insan ki qismat nahin banti

    magar banne pe aati hai to be-tadbir banti hai

    kabhi muKHtar kar dena kabhi majbur kar dena

    mujhe malum hai jaise meri taqdir banti hai

    kisi se mere dil ka muddaa zahir nahin hota

    meri bechaargi apni hi KHud tafsir banti hai

    mujhe sharminda-e-ilzam hone ki zarurat kya

    wasila maghfirat ka jab meri taqsir banti hai

    kamale-ra-zawale daKHil-e-ain-e-qudrat hai

    jo ban kar phir na bigDe wo kahan taqdir banti hai

    masarrat yaad aa jati hai jab ahd-e-guzishta ki

    dil-e-mayus ke haq mein sinan-o-tir banti hai

    jise duniya mein dekha hum ne tujh ko koste dekha

    kisi se bhi teri ai aasman-e-pir banti hai

    na jaane katib-e-qismat pe kyon ilzam rakhte hain

    KHud apne hath se insan ki taqdir banti hai

    bashar miTTi ka putla hi sahi zer-e-falak 'talib'

    mohabbat se magar ye KHak bhi iksir banti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now