Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo muskuraen asiran-e-rang-o-bu ke liye

Faiz Jhanjhanvi

wo muskuraen asiran-e-rang-o-bu ke liye

Faiz Jhanjhanvi

MORE BYFaiz Jhanjhanvi

    vo muskurā.eñ asīrān-e-rang-o-bū ke liye

    shu.ūr chāhiye phūloñ ko aarzū ke liye

    shahīd-e-ḳhanda-e-gul ai asīr-e-jalva-e-mah

    nazar ko garmī-e-dil chāhiye numū ke liye

    ye kyā kahā sar-e-mahfil nigāh-e-qātil ne

    machal rahī hai har ik shai mire lahū ke liye

    uThā ke sahn-e-chaman meñ naqāb-e-lāla-o-gul

    maze bahārne tash.hīr-e-rang-o-bū ke liye

    faqat nazar ko charāġh-e-rah-e-talab na samajh

    zarūr gumshudagī bhī hai justujū ke liye

    jabīn-e-sub.h pe raushan charāġh-e-tūr nahīñ

    vo aa ga.e haiñ sar-e-bām guftugū ke liye

    ġhurūr-e-chāk-e-junūñ 'faiz' sar-nigūñ na huā

    hazār ḳhār-e-muġhīlāñ baḌhe rafū ke liye

    wo muskuraen asiran-e-rang-o-bu ke liye

    shuur chahiye phulon ko aarzu ke liye

    shahid-e-KHanda-e-gul ai asir-e-jalwa-e-mah

    nazar ko garmi-e-dil chahiye numu ke liye

    ye kya kaha sar-e-mahfil nigah-e-qatil ne

    machal rahi hai har ek shai mere lahu ke liye

    uTha ke sahn-e-chaman mein naqab-e-lala-o-gul

    maze bahaarne tashhir-e-rang-o-bu ke liye

    faqat nazar ko charagh-e-rah-e-talab na samajh

    zarur gumshudagi bhi hai justuju ke liye

    jabin-e-subh pe raushan charagh-e-tur nahin

    wo aa gae hain sar-e-baam guftugu ke liye

    ghurur-e-chaak-e-junun 'faiz' sar-nigun na hua

    hazar KHar-e-mughilan baDhe rafu ke liye

    Source:

    Aabshar (Pg. 193)

    • Author: Faiz Jhanjhanvi
      • Publisher: Urdu Majlis, Delhi
      • Year of Publication: 1944
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now