Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo na pahchane ye KHadsha sa lagta rahta hai

Partav Rohila

wo na pahchane ye KHadsha sa lagta rahta hai

Partav Rohila

MORE BYPartav Rohila

    vo na pahchāne ye ḳhadsha lagtā rahtā hai

    ruḳh pe us ke nayā chehra lagā rahtā hai

    apne ghar meñ bhī to hai chain se sonā mushkil

    chhat na gir jaa.e ye khaTkā lagā rahtā hai

    vo zamīñ ḳhaak ugā.egī adāvat ke sivā

    pyaar par jis jagah pahra lagā rahtā hai

    bhiiḌ chhaTtī nahīñ is kalba-e-ahzāñ se kabhī

    ārzūeñ haiñ ki mela lagā rahtā hai

    saaf kitnā kareñ dāman-e-qātil ko halīf

    lauh-e-tārīḳh pe dhabbā lagā rahtā hai

    tere aane ḳhushī bhī nahīñ hotī 'partav'

    chalā jā.egā dhaḌkā lagā rahtā hai

    wo na pahchane ye KHadsha sa lagta rahta hai

    ruKH pe us ke naya chehra sa laga rahta hai

    apne ghar mein bhi to hai chain se sona mushkil

    chhat na gir jae ye khaTka sa laga rahta hai

    wo zamin KHak ugaegi adawat ke siwa

    pyar par jis jagah pahra sa laga rahta hai

    bhiD chhaTti nahin is kalba-e-ahzan se kabhi

    aarzuen hain ki mela sa laga rahta hai

    saf kitna hi karen daman-e-qatil ko halif

    lauh-e-tariKH pe dhabba sa laga rahta hai

    tere aane ki KHushi bhi nahin hoti 'partaw'

    tu chala jaega dhaDka sa laga rahta hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 366)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now