Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo nahin mera magar us se mohabbat hai to hai

Deepti Mishra

wo nahin mera magar us se mohabbat hai to hai

Deepti Mishra

MORE BYDeepti Mishra

    vo nahīñ merā magar us se mohabbat hai to hai

    ye agar rasmoñ rivājoñ se baġhāvat hai to hai

    sach ko maiñ ne sach kahā jab kah diyā to kah diyā

    ab zamāne nazar meñ ye himāqat hai to hai

    kab kahā maiñ ne ki vo mil jaa.e mujh ko maiñ use

    ġhair ho jaa.e vo bas itnī hasrat hai to hai

    jal gayā parvāna gar to kyā ḳhatā hai sham.a

    raat bhar jalnā jalānā us qismat hai to hai

    dost ban kar dushmanoñ vo satātā hai mujhe

    phir bhī us zālim pe marnā apnī fitrat hai to hai

    duur the aur duur haiñ har dam zamīn-o-āsmāñ

    dūriyoñ ke baa'd bhī donoñ meñ qurbat hai to hai

    wo nahin mera magar us se mohabbat hai to hai

    ye agar rasmon riwajon se baghawat hai to hai

    sach ko main ne sach kaha jab kah diya to kah diya

    ab zamane ki nazar mein ye himaqat hai to hai

    kab kaha main ne ki wo mil jae mujh ko main use

    ghair na ho jae wo bas itni hasrat hai to hai

    jal gaya parwana gar to kya KHata hai shama ki

    raat bhar jalna jalana us ki qismat hai to hai

    dost ban kar dushmanon sa wo satata hai mujhe

    phir bhi us zalim pe marna apni fitrat hai to hai

    dur the aur dur hain har dam zamin-o-asman

    duriyon ke ba'd bhi donon mein qurbat hai to hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now