Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo nahin milta mujhe is ka gila apni jagah

Iftikhar Imam Siddiqi

wo nahin milta mujhe is ka gila apni jagah

Iftikhar Imam Siddiqi

MORE BYIftikhar Imam Siddiqi

    vo nahīñ miltā mujhe is gilā apnī jagah

    us ke mere darmiyāñ fāsla apnī jagah

    zindagī ke is safar meñ saikḌoñ chehre mile

    dilkashī un alag paikar tirā apnī jagah

    tujh se mil kar aane vaale kal se nafrat mol

    ab kabhī tujh se na bichhḌūñ ye duā apnī jagah

    ik musalsal dauḌ meñ haiñ manzileñ aur fāsle

    peḌ to apnī jagah haiñ rāsta apnī jagah

    wo nahin milta mujhe is ka gila apni jagah

    us ke mere darmiyan ka fasla apni jagah

    zindagi ke is safar mein saikDon chehre mile

    dilkashi un ki alag paikar tera apni jagah

    tujh se mil kar aane wale kal se nafrat mol li

    ab kabhi tujh se na bichhDun ye dua apni jagah

    ek musalsal dauD mein hain manzilen aur fasle

    peD to apni jagah hain rasta apni jagah

    Source:

    Jagjit Chitra Ki Ghazlen (Pg. 90)

    • Author: Jagjit Chitra
      • Publisher: Daimond Pocket Books, Daryaganj
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now