wo nigah-e-chashm-e-tilism-gar mujhe dekhte hi laja gai

Niyaz Haidar

wo nigah-e-chashm-e-tilism-gar mujhe dekhte hi laja gai

Niyaz Haidar

MORE BYNiyaz Haidar

  vo nigāh-e-chashm-e-tilism-gar mujhe dekhte lajā ga.ī

  vo adā jo sehr-e-tamām se bhī sivā karishma dikhā ga.ī

  yahī jaam partav-e-ruḳh tirā yahī terī zulf ko ā.īna

  mah o abrū mai hasīñ fazā ise roknā ye fazā ga.ī

  vo misāl-e-barq numūd gum-gashtagī tabassum-e-be-amāñ

  shafaq-āfrīñ vo mauj lab dil o jaañ meñ aag lagā ga.ī

  vo siyāh-rañg shamīm-shām-e-visāl jo naved hai

  is alam-gazīda firāq meñ vahī zulf yaad phir aa ga.ī

  shah-e-dilbarāñ tujhe kyā ḳhabar dil-e-rind-e-ḳhāk-nashīñ hai kyā

  isī ḳhaak ne use dil kiyā yahī ḳhaak us ko miTā ga.ī

  vo sitam-shi.ār sahī magar hai vahī qarār-e-dil-o-nazar

  vo rahe to rasm-e-vafā rahe na rahe to rasm-e-vafā ga.ī

  wo nigah-e-chashm-e-tilism-gar mujhe dekhte hi laja gai

  wo ada jo sehr-e-tamam se bhi siwa karishma dikha gai

  yahi jam partaw-e-ruKH tera yahi teri zulf ko aaina

  mah o abru mai ki hasin faza ise rokna ye faza gai

  wo misal-e-barq numud gum-gashtagi tabassum-e-be-aman

  shafaq-afrin si wo mauj lab dil o jaan mein aag laga gai

  wo siyah-rang shamim-sham-e-visal ki jo nawed hai

  is alam-gazida firaq mein wahi zulf yaad phir aa gai

  shah-e-dilbaran tujhe kya KHabar dil-e-rind-e-KHak-nashin hai kya

  isi KHak ne use dil kiya yahi KHak us ko miTa gai

  wo sitam-shiar sahi magar hai wahi qarar-e-dil-o-nazar

  wo rahe to rasm-e-wafa rahe na rahe to rasm-e-wafa gai

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY