wo nichi nigahen wo mauj-e-tabassum abhi dushman-e-ashiyan aur bhi hain
wo nichi nigahen wo mauj-e-tabassum abhi dushman-e-ashiyan aur bhi hain
Hasan Jafari
MORE BYHasan Jafari
vo nīchī nigāheñ vo mauj-e-tabassum abhī dushman-e-āshiyāñ aur bhī haiñ
falak kī hī bijlī se ghabrā rahā thā zamīñ par abhī bijliyāñ aur bhī haiñ
ye shāḳh-e-nasheman miTā kar o nādāñ tirā maqsad-e-dil mukammal na hogā
rag-e-gul kalī kī chaTak tāb-e-shabnam chaman meñ mire āshiyāñ aur bhī haiñ
fazāoñ meñ ye gungunātī havā.eñ ufuq meñ ye bahte hue chāñd taare
mire ham-navā naġhma-zan aur bhī haiñ mire ham-safar kārvāñ aur bhī haiñ
ise apnā ijz-e-takallum samajh luuñ yā un kā hai ye ārifāna tajāhul
ki jab bhī safā.ī kī koshish karī hai hue mujh se vo bad-gumāñ aur bhī haiñ
na matlab butoñ se na matlab ḳhudā se bigaḌte haiñ dair-o-haram to balā se
dar-e-shāhidāñ naqsh-e-pā-e-shahīdāñ jabīñ ko mirī āstāñ aur bhī haiñ
abhī to faqat vā.iz-e-mohtaram ne hī mimbar pe farmā.ī hai gul-fishānī
diloñ meñ abhī aur talḳhī baḌhegī ki mahfil meñ shīrīñ-bayāñ aur bhī haiñ
wo nichi nigahen wo mauj-e-tabassum abhi dushman-e-ashiyan aur bhi hain
falak ki hi bijli se ghabra raha tha zamin par abhi bijliyan aur bhi hain
ye shaKH-e-nasheman miTa kar o nadan tera maqsad-e-dil mukammal na hoga
rag-e-gul kali ki chaTak tab-e-shabnam chaman mein mere aashiyan aur bhi hain
fazaon mein ye gungunati hawaen ufuq mein ye bahte hue chand tare
mere ham-nawa naghma-zan aur bhi hain mere ham-safar karwan aur bhi hain
ise apna ijz-e-takallum samajh lun ya un ka hai ye aarifana tajahul
ki jab bhi safai ki koshish kari hai hue mujh se wo bad-guman aur bhi hain
na matlab buton se na matlab KHuda se bigaDte hain dair-o-haram to bala se
dar-e-shahidan naqsh-e-pa-e-shahidan jabin ko meri aastan aur bhi hain
abhi to faqat waiz-e-mohtaram ne hi mimbar pe farmai hai gul-fishani
dilon mein abhi aur talKHi baDhegi ki mahfil mein shirin-bayan aur bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.