Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo pahli si mujh par inayat nahin hai

Rasheed Khan Rahi

wo pahli si mujh par inayat nahin hai

Rasheed Khan Rahi

MORE BYRasheed Khan Rahi

    vo pahlī mujh par ināyat nahīñ hai

    mujhe phir bhī tum se shikāyat nahīñ hai

    unheñ rahm karne aadat nahīñ hai

    mirī ashk-rezī ḳhaslat nahīñ hai

    nazar se pilānā kaafī hai saaqī

    mujhe jaam ab zarūrat nahīñ hai

    guzartī hai kaise mirī zindagānī

    zabāñ se kaho kaise tāqat nahīñ hai

    mulāqāt yuuñ to vo karte haiñ mujh se

    magar vālihāna mohabbat nahīñ hai

    madad chāhiye sirf ham ko ḳhudā

    kisī ġhair mujh ko hājat nahīñ hai

    muqaddar ne jab se kiyā duur tum se

    usī vaqt se dil ko rāhat nahīñ hai

    ḳhudā jaane gulshan meñ kyā ho gayā hai

    vo pahlī phūloñ meñ rangat nahīñ hai

    nazar pher kar is tarah chal diye vo

    ki 'rāhī' se jaise mohabbat nahīñ hai

    wo pahli si mujh par inayat nahin hai

    mujhe phir bhi tum se shikayat nahin hai

    unhen rahm karne ki aadat nahin hai

    meri ashk-rezi ki KHaslat nahin hai

    nazar se pilana hi kafi hai saqi

    mujhe jam ki ab zarurat nahin hai

    guzarti hai kaise meri zindagani

    zaban se kaho kaise taqat nahin hai

    mulaqat yun to wo karte hain mujh se

    magar walihana mohabbat nahin hai

    madad chahiye sirf hum ko KHuda ki

    kisi ghair ki mujh ko hajat nahin hai

    muqaddar ne jab se kiya dur tum se

    usi waqt se dil ko rahat nahin hai

    KHuda jaane gulshan mein kya ho gaya hai

    wo pahli si phulon mein rangat nahin hai

    nazar pher kar is tarah chal diye wo

    ki 'rahi' se jaise mohabbat nahin hai

    Source:

    Subh Ki Pahli Kiran (Pg. 106)

    • Author: Rasheed Khan Rahi
      • Publisher: Rasheed Khan Rahi
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now