Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo qarya-e-mahtab rahe subh-o-masa yaad

Hafiz Ludhiyanvi

wo qarya-e-mahtab rahe subh-o-masa yaad

Hafiz Ludhiyanvi

MORE BYHafiz Ludhiyanvi

    vo qarya-e-mahtāb rahe sub.h-o-masā yaad

    kuchh bhī na rahe shahr-e-tamannā ke sivā yaad

    anvār bārish thī sar-e-manzil-e-taiba

    har manzil-e-ḳhush dekh ke aatā thā ḳhudā yaad

    ab tak haiñ nigāhoñ meñ dar-o-bām haram ke

    ab tak hai mujhe vādī-e-rahmat fazā yaad

    hai sīrat-e-at.har mirā sarmāya-e-hastī

    mahbūb-e-do-ālam hai ek ek adā yaad

    Duube na kabhī mere muqaddar sitārā

    ik baar jo kar leñ mujhe mahbūb-e-ḳhudā yaad

    qurbān huī jaatī thiiñ rahmat ghaTā.eñ

    in kāñpte hoñToñ hai andāz-e-duā yaad

    har ek ke dāman meñ murādoñ ke guhar the

    'hāfiz' mujhe darbār hai shān-e-saḳhā yaad

    wo qarya-e-mahtab rahe subh-o-masa yaad

    kuchh bhi na rahe shahr-e-tamanna ke siwa yaad

    anwar ki barish thi sar-e-manzil-e-taiba

    har manzil-e-KHush dekh ke aata tha KHuda yaad

    ab tak hain nigahon mein dar-o-baam haram ke

    ab tak hai mujhe wadi-e-rahmat ki faza yaad

    hai sirat-e-athar mera sarmaya-e-hasti

    mahbub-e-do-alam ki hai ek ek ada yaad

    Dube na kabhi mere muqaddar ka sitara

    ek bar jo kar len mujhe mahbub-e-KHuda yaad

    qurban hui jati thin rahmat ki ghaTaen

    in kanpte honTon ka hai andaz-e-dua yaad

    har ek ke daman mein muradon ke guhar the

    'hafiz' mujhe darbar ki hai shan-e-saKHa yaad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now