Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo rang nahin shauq ka wo bas nahin hai

israr Kafeel

wo rang nahin shauq ka wo bas nahin hai

israr Kafeel

MORE BYisrar Kafeel

    vo rang nahīñ shauq vo baas nahīñ hai

    kuchh hai jo tujhe ke mire paas nahīñ hai

    ik aa.ina hai aur do hairat-zada āñkheñ

    chehra bhī koī dard akkās nahīñ hai

    koī kamī hogī mire ġhuncha-e-dil meñ

    mujh ko tirī āb-o-havā raas nahīñ hai

    jo chāhe vahī mauj-e-havā likh ke chalī jaa.e

    kuchh bhī ho ye dil kāġhaz-o-qirtās nahīñ hai

    patthar se gurezāñ ho to ye soch lo pahle

    dāman meñ koī reza-e-almās nahīñ hai

    sahrā kabhī phūloñ se nahīñ māñgtā shabnam

    pyāsā hai magar kahtā hai ab pyaas nahīñ hai

    kuchh roz mire saath basar kar ke to dekho

    phir shauq se kahnā mujhe ehsās nahīñ hai

    ābād hai aur hai adam-ābād bhī duniyā

    bastī meñ koī dūsrā ban-bās nahīñ hai

    koī 'kafīl' ālam-e-barzaḳh hai zamīñ par

    saañs faqat sūrat-e-anfās nahīñ hai

    wo rang nahin shauq ka wo bas nahin hai

    kuchh hai jo tujhe pa ke mere pas nahin hai

    ek aaina hai aur do hairat-zada aankhen

    chehra bhi koi dard ka akkas nahin hai

    ya koi kami hogi mere ghuncha-e-dil mein

    ya mujh ko teri aab-o-hawa ras nahin hai

    jo chahe wahi mauj-e-hawa likh ke chali jae

    kuchh bhi ho ye dil kaghaz-o-qirtas nahin hai

    patthar se gurezan ho to ye soch lo pahle

    daman mein koi reza-e-almas nahin hai

    sahra kabhi phulon se nahin mangta shabnam

    pyasa hai magar kahta hai ab pyas nahin hai

    kuchh roz mere sath basar kar ke to dekho

    phir shauq se kahna mujhe ehsas nahin hai

    aabaad hai aur hai adam-abaad bhi duniya

    basti mein koi dusra ban-bas nahin hai

    ya koi 'kafil' aalam-e-barzaKH hai zamin par

    ya sans faqat surat-e-anfas nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now