Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ruh-e-gulistan hai fitrat ki nishani hai

Zaheerunnisa Nigar

wo ruh-e-gulistan hai fitrat ki nishani hai

Zaheerunnisa Nigar

MORE BYZaheerunnisa Nigar

    vo rūh-e-gulistāñ hai fitrat nishānī hai

    phūloñ latāfat hai kaliyoñ javānī hai

    ik dard qissa hai ik ġham kahānī hai

    jazbāt shiddat hai ashkoñ ravānī hai

    har daur ke dāman se vābasta use kahiye

    ye merā fasāna hai ye merī kahānī hai

    donoñ se mohabbat ābād huī duniyā

    maiñ terā fasāna huuñ merī kahānī hai

    duniyā ko abhī tak ye ma.alūm nahīñ shāyad

    vo jān-e-talab mere ḳhvāboñ nishānī hai

    mai-ḳhāna-e-ulfat ke haiñ tauba-shikan lamhe

    mai-ḳhāna-e-ulfat har shaam suhānī hai

    chheḌī jo ġhazal maiñ ne arbāb-e-suḳhan bole

    kyā husn hai sheroñ meñ kyā jādū-bayānī hai

    ai zulm ke matvāle kyoñ is ko bahāte ho

    ye ḳhuun hai insāñ sahbā hai na paanī hai

    jo ahl-e-mohabbat haiñ kah do ye 'nigār' un se

    āfāt se Takrānā izzat nishānī hai

    wo ruh-e-gulistan hai fitrat ki nishani hai

    phulon ki latafat hai kaliyon ki jawani hai

    ek dard ka qissa hai ek gham ki kahani hai

    jazbaat ki shiddat hai ashkon ki rawani hai

    har daur ke daman se wabasta use kahiye

    ye mera fasana hai ye meri kahani hai

    donon se mohabbat ki aabaad hui duniya

    main tera fasana hun tu meri kahani hai

    duniya ko abhi tak ye malum nahin shayad

    wo jaan-e-talab mere KHwabon ki nishani hai

    mai-KHana-e-ulfat ke hain tauba-shikan lamhe

    mai-KHana-e-ulfat ki har sham suhani hai

    chheDi jo ghazal main ne arbab-e-suKHan bole

    kya husn hai sheron mein kya jadu-bayani hai

    ai zulm ke matwale kyon is ko bahate ho

    ye KHun hai insan ka sahba hai na pani hai

    jo ahl-e-mohabbat hain kah do ye 'nigar' un se

    aafat se Takrana izzat ki nishani hai

    Source:

    Qafila-e-Bahaar (Pg. 72)

    • Author: Zaheerunnisa Nigar
      • Publisher: Taufeeq Farooqi
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now