Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo sadaen deta raha ho maine suna na ho kahin yun na ho

Sabir Zafar

wo sadaen deta raha ho maine suna na ho kahin yun na ho

Sabir Zafar

MORE BYSabir Zafar

    vo sadā.eñ detā rahā ho maiñ ne sunā na ho kahīñ yuuñ na ho

    mujhe lag rahā ho judā magar vo judā na ho kahīñ yuuñ na ho

    nahīñ koī rāz-e-yagāngī nahīñ koī sāz-e-fasāngī

    magar ek sāz-e-fasāna rāz-e-yagāna ho kahīñ yuuñ na ho

    maiñ samajhtā huuñ use ḳhush-nasīb koī chūmtā hai agar salīb

    ki ye sāz-e-marg zindagī tarāna ho kahīñ yuuñ na ho

    maiñ diyā-salā.ī raushnī meñ talāsh kartā rahā tumheñ

    magar apnā maqsad añdherī raat batānā ho kahīñ yuuñ na ho

    maiñ tumhāre 'ishq meñ rāt-din jo dikhā.ī detā huuñ mutma.in

    mirā ghar sirf luTā ho dil to luTā na ho kahīñ yuuñ na ho

    vo shumār-e-māh-o-nujūm ho ki ḳhumār-e-tark-e-rusūm ho

    koī baar soch bichār paḌā na ho kahīñ yuuñ na ho

    kisī hoñT se koī ras mile koī dam farishta-nafas mile

    vo milā bhī ho to mujhe dobāra milā na ho kahīñ yuuñ na ho

    tire paañv chhūtī vo sā.ateñ vo taġhayyurāt sabqateñ

    kisī pul jaise kahīñ bhī koī sirā na ho kahīñ yuuñ na ho

    jo hai apne rang meñ sandalī jo hai apne lams meñ maḳhmalī

    mirī ḳhalvatoñ ko usī ne jaise lubhānā ho kahīñ yuuñ na ho

    vo asās-e-azm se āshnā vo libās-e-nazm se rūnumā

    kisī qāfiye radīf se vo khulā na ho kahīñ yuuñ na ho

    koī ābshār na āb-e-jū kisī aur lahar aarzū

    mirī pyaas bujhne aur koī Thikānā ho kahīñ yuuñ na ho

    kahīñ yuuñ na ho koī pul-sirāt ke paar ho mirā muntazir

    magar us ko ke udhar talāsh kiyā na ho kahīñ yuuñ na ho

    kisī 'iid par basant par vo milegā 'umr ke ant par

    maiñ ye sochtā huuñ ki ye bhī koī bahāna ho kahīñ yuuñ na ho

    vo ufuq ba-nafsī jo kho chukā koī āftāb jo so chukā

    unheñ rañj mere akele-pan rahā na ho kahīñ yuuñ na ho

    mujhe naaz apne ḳhayāl par mujhe naaz us ke jamāl par

    maiñ samajh rahā huuñ jise nayā vo nayā na ho kahīñ yuuñ na ho

    mire dil ke diin ko bech kar koī le gayā mujhe khīñch kar

    mire añg añg meñ apnā rang jamānā ho kahīñ yuuñ na ho

    yahī ham-qadam haiñ laġhzish yahī zer-o-bam haiñ larzisheñ

    jise bhūlnā na ho vo yaad rahā na ho kahīñ yuuñ na ho

    koī sho'la jo bhaḌak uThā koī dard jo chamak uThā

    mare dard dil ye āriza bhī purānā ho kahīñ yuuñ na ho

    maiñ diye jalā.ūñ muñDer par ki zarūr aa.egā vo idhar

    isī shaam vo kisī aur samt ravāna ho kahīñ yuuñ na ho

    kabhī surma.ī kabhī ātishī kabhī nuqra.ī kabhī kāsnī

    kisī ek rang meñ rah ke lagānā ho kahīñ yuuñ na ho

    kisī farsh-o-arsh meñ kuchh nahīñ maiñ jhukā rahā huuñ yūñhī jabīñ

    jise DhūñDūñ meñ vo qadam us ne rakhā na ho kahīñ yuuñ na ho

    hameñ sar-kashī se muqaddaroñ ko badalnā aayā nahīñ abhī

    magar aisā karnā mohabbatoñ meñ ridā na ho kahīñ yuuñ na ho

    jo thī kal vo aaj hai zindagī abhī lā-'ilāj hai zindagī

    ki masīh-e-asr ke paas us davā na ho kahīñ yuuñ na ho

    vo musavvirī huī shā'irī kisī kaam aa.e ye sāhirī

    dil-e-pāk-bāz bhī mah-ruḳhoñ divāna ho kahīñ yuuñ na ho

    shab-e-vasl jalva-e-tūr vo badan chamaktā thā nuur

    koī lā-zavāl vafūr-e-rañg-e-shabāna ho kahīñ yuuñ na ho

    maiñ kahāñ se lā.ūñ vo zindagī jo sarāsar us ho bandagī

    mirī ruuh jo talab hai us razā na ho kahīñ yuuñ na ho

    mirā āḳhirat pe to hai yaqīñ kahīñ zahr ho na ye añgbīñ

    maiñ haqīqat us ko samajh luuñ aur vo fasāna ho kahīñ yuuñ na ho

    ye satīza-kārī na ho shurū' hai kahāñ ġhurūb kahāñ tulūa

    jo tirā zamāna ho vo mirā zamāna ho kahīñ yuuñ na ho

    maiñ guzar ke aayā huuñ qabr se ki 'ilāqa rakhtā huuñ sabr se

    mirī ruuh meñ koī iztirāb-e-fanā na ho kahīñ yuuñ na ho

    ye gurez to zarā kam karo mirī kā.enāt meñ ram karo

    sau garm karo ki dobāra par ye ḳhalā na ho kahīñ yuuñ na ho

    na suhāg-rāt chamak sakī yūñhī kasmasāte sahar huī

    koī diip gum-shuda thāliyoñ meñ jalānā ho kahīñ yuuñ na ho

    mujhe us shakl dikhā.ī de na apnī shakl dikhā.ī de

    mirā ā.īna mire shīshagar 'atā na ho kahīñ yuuñ na ho

    mujhī tīra-baḳht baat hai ki ye vaqt vaqt baat hai

    jise yaad kar ke jiyūñ usī ko bhulānā ho kahīñ yuuñ na ho

    jo hai mere dil mu'āmla jo hai nazm-e-dahr se māvarā

    kahīñ us ke vāste harf-e-kun kahā na ho kahīñ yuuñ na ho

    vo barahnagī qasīda kahte hue idhar nikal aayā thā

    magar us āñkhoñ meñ satr-posh hayā na ho kahīñ yuuñ na ho

    na vo yaar thā na vo dāshta meñ kahāñ panāh tarāshtā

    mujhe le ke dil mirā dar-ba-dar phirā na ho kahīñ yuuñ na ho

    sar-e-rāh siina nikāltā huā aayā thā jo vo ḳhush-nigāh

    dil-ishq-ḳhū ko vo par ġhurūr lagā na ho kahīñ yuuñ na ho

    ho 'abas yahāñ use dekhnā ho 'abas yahāñ use DhūñDhnā

    mirā yaar mere baġhair sakā na ho kahīñ yuuñ na ho

    vo ḳhayāl khol ke dekhnā vo savāl taul ke dekhnā

    ki samajh rahe ho jise ḳhafā vo ḳhafā na ho kahīñ yuuñ na ho

    mirī zindagī tirī bandagī se judā nahīñ kabhī ġhaur kar

    mare ijtihād pe ne ġhaur kiyā na ho kahīñ yuuñ na ho

    isī vāste abhī zindagī huuñ ki tumhārā chehra hai sāmne

    koī aur shaḳhs mirī nazar meñ jachā na ho kahīñ yuuñ na ho

    vo koī daġhā koī mā'rka vo shujā.ateñ aur muhāsara

    vo koī qadīm rajaz sunā gayā na ho kahīñ yuuñ na ho

    jo aziiz jaañ se hai kāfira use zeb de na munāfira

    ye nahīñ ba.iid ki us ko pās-e-vafā na ho kahīñ yuuñ na ho

    tirā husn asiir na kar sakā na maiñ tere vāste mar sakā

    kahīñ merā saath mire ḳhudā ne diyā na ho kahīñ yuuñ na ho

    koī hijratī ġham-e-dahr meñ ho ravāñ-davāñ kisī lahar meñ

    koī rah rahā thā jahāñ vahāñ vo rahā na ho kahīñ yuuñ na ho

    vo qurūn-e-asl sā.ateñ vo junūn-e-vasl rāhateñ

    mire vāste hoñ mujhe pata chalā na ho kahīñ yuuñ na ho

    kisī aur ke liye ho chhupā ke hañsī vo us ne rakhī huī

    'zafar' ik mujhī ko hamesha ḳhuun rulānā ho kahīñ yuuñ na ho

    wo sadaen deta raha ho main ne suna na ho kahin yun na ho

    mujhe lag raha ho juda magar wo juda na ho kahin yun na ho

    nahin koi raaz-e-yagangi nahin koi saz-e-fasangi

    magar ek saz-e-fasana raaz-e-yagana ho kahin yun na ho

    main samajhta hun use KHush-nasib koi chumta hai agar salib

    ki ye saz-e-marg hi zindagi ka tarana ho kahin yun na ho

    main diya-salai ki raushni mein talash karta raha tumhein

    magar apna maqsad andheri raat batana ho kahin yun na ho

    main tumhaare 'ishq mein raat-din jo dikhai deta hun mutmain

    mera ghar hi sirf luTa ho dil to luTa na ho kahin yun na ho

    wo shumar-e-mah-o-nujum ho ki KHumar-e-tark-e-rusum ho

    koi bar soch bichaar hi ka paDa na ho kahin yun na ho

    kisi honT se koi ras mile koi dam farishta-nafas mile

    wo mila bhi ho to mujhe dobara mila na ho kahin yun na ho

    tere panw chhuti wo saaten wo taghayyuraat ki sabqaten

    kisi pul ka jaise kahin bhi koi sira na ho kahin yun na ho

    jo hai apne rang mein sandali jo hai apne lams mein maKHmali

    meri KHalwaton ko usi ne jaise lubhana ho kahin yun na ho

    wo asas-e-azm se aashna wo libas-e-nazm se runuma

    kisi qafiye ya radif se wo khula na ho kahin yun na ho

    koi aabshaar na aab-e-ju kisi aur lahar ki aarzu

    meri pyas bujhne ka aur koi Thikana ho kahin yun na ho

    kahin yun na ho koi pul-siraat ke par ho mera muntazir

    magar us ko ja ke udhar talash kiya na ho kahin yun na ho

    kisi 'id par ya basant par wo milega 'umr ke ant par

    main ye sochta hun ki ye bhi koi bahana ho kahin yun na ho

    wo ufuq ba-nafsi jo kho chuka koi aaftab jo so chuka

    unhen ranj mere akele-pan ka raha na ho kahin yun na ho

    mujhe naz apne KHayal par mujhe naz us ke jamal par

    main samajh raha hun jise naya wo naya na ho kahin yun na ho

    mere dil ke din ko bech kar koi le gaya mujhe khinch kar

    mere ang ang mein apna rang jamana ho kahin yun na ho

    yahi ham-qadam ki hain laghzish yahi zer-o-bam ki hain larzishen

    jise bhulna na ho wo hi yaad raha na ho kahin yun na ho

    koi sho'la sa jo bhaDak uTha koi dard sa jo chamak uTha

    mare dard dil ka ye aariza bhi purana ho kahin yun na ho

    main diye jalaun munDer par ki zarur aaega wo idhar

    isi sham wo kisi aur samt rawana ho kahin yun na ho

    kabhi surmai kabhi aatishi kabhi nuqrai kabhi kasni

    kisi ek rang mein rah ke ji hi lagana ho kahin yun na ho

    kisi farsh-o-arsh mein kuchh nahin main jhuka raha hun yunhi jabin

    jise DhunDun mein wo qadam hi us ne rakha na ho kahin yun na ho

    hamein sar-kashi se muqaddaron ko badalna aaya nahin abhi

    magar aisa karna mohabbaton mein rida na ho kahin yun na ho

    jo thi kal wo aaj hai zindagi abhi la-'ilaj hai zindagi

    ki masih-e-asr ke pas us ki dawa na ho kahin yun na ho

    wo musawwiri hui sha'iri kisi kaam aae ye sahiri

    dil-e-pak-baz bhi mah-ruKHon ka diwana ho kahin yun na ho

    shab-e-wasl jalwa-e-tur sa wo badan chamakta tha nur sa

    koi la-zawal wafur-e-rang-e-shabana ho kahin yun na ho

    main kahan se laun wo zindagi jo sarasar us ki ho bandagi

    meri ruh ki jo talab hai us ki raza na ho kahin yun na ho

    mera aaKHirat pe to hai yaqin kahin zahr ho na ye angbin

    main haqiqat us ko samajh lun aur wo fasana ho kahin yun na ho

    ye satiza-kari na ho shuru' hai kahan ghurub kahan tulua

    jo tera zamana ho wo hi mera zamana ho kahin yun na ho

    main guzar ke aaya hun qabr se ki 'ilaqa rakhta hun sabr se

    meri ruh mein koi iztirab-e-fana na ho kahin yun na ho

    ye gurez to zara kam karo meri kaenat mein ram karo

    sau garm karo ki dobara par ye KHala na ho kahin yun na ho

    na suhag-raat chamak saki yunhi kasmasate sahar hui

    koi dip gum-shuda thaaliyon mein jalana ho kahin yun na ho

    mujhe us ki shakl dikhai de na hi apni shakl dikhai de

    mera aaina mere shishagar ki 'ata na ho kahin yun na ho

    mujhi tira-baKHt ki baat hai ki ye waqt waqt ki baat hai

    jise yaad kar ke jiyun usi ko bhulana ho kahin yun na ho

    jo hai mere dil ka mu'amla jo hai nazm-e-dahr se mawara

    kahin us ke waste harf-e-kun hi kaha na ho kahin yun na ho

    wo barahnagi ka qasida kahte hue idhar nikal aaya tha

    magar us ki aankhon mein satr-posh haya na ho kahin yun na ho

    na wo yar tha na wo dashta mein kahan panah tarashta

    mujhe le ke dil mera dar-ba-dar hi phira na ho kahin yun na ho

    sar-e-rah sina nikalta hua aaya tha jo wo KHush-nigah

    dil-ishq-KHu ko wo par ghurur laga na ho kahin yun na ho

    ho 'abas yahan use dekhna ho 'abas yahan use DhunDhna

    mera yar mere baghair ji hi saka na ho kahin yun na ho

    wo KHayal khol ke dekhna wo sawal taul ke dekhna

    ki samajh rahe ho jise KHafa wo KHafa na ho kahin yun na ho

    meri zindagi teri bandagi se juda nahin kabhi ghaur kar

    mare ijtihad pe tu ne ghaur kiya na ho kahin yun na ho

    isi waste abhi zindagi hun ki tumhaara chehra hai samne

    koi aur shaKHs meri nazar mein jacha na ho kahin yun na ho

    wo koi dagha koi ma'rka wo shujaaten aur muhasara

    wo koi qadim rajaz suna hi gaya na ho kahin yun na ho

    jo aziz jaan se hai kafira use zeb de na munafira

    ye nahin baid ki us ko pas-e-wafa na ho kahin yun na ho

    tera husn asir na kar saka na main tere waste mar saka

    kahin mera sath mere KHuda ne diya na ho kahin yun na ho

    koi hijrati gham-e-dahr mein ho rawan-dawan kisi lahar mein

    koi rah raha tha jahan wahan wo raha na ho kahin yun na ho

    wo qurun-e-asl ki saaten wo junun-e-wasl ki rahaten

    mere waste hon mujhe pata hi chala na ho kahin yun na ho

    kisi aur ke liye ho chhupa ke hansi wo us ne rakhi hui

    'zafar' ek mujhi ko hamesha KHun rulana ho kahin yun na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now