wo sar-e-baam kyon nahin aata
vo sar-e-bām kyoñ nahīñ aatā
Dhal ga.ī shaam kyoñ nahīñ aatā
hujra-e-zāt meñ hai kyoñ rū-posh
bar-sar-e-'ām kyoñ nahīñ aatā
tā.ir-e-surḳh se kabhī pūchhūñ
vo tah-e-dām kyoñ nahīñ aatā
ab to vo shaḳhs bhī mayassar hai
dil ko ārām kyoñ nahīñ aatā
kyā hai andher mai-kade vaalo
mujh talak jaam kyoñ nahīñ aatā
merā sikka kharā hai gar 'sarvat'
phir kisī kaam kyoñ nahīñ aatā
wo sar-e-baam kyon nahin aata
Dhal gai sham kyon nahin aata
hujra-e-zat mein hai kyon ru-posh
bar-sar-e-'am kyon nahin aata
tair-e-surKH se kabhi puchhun
wo tah-e-dam kyon nahin aata
ab to wo shaKHs bhi mayassar hai
dil ko aaram kyon nahin aata
kya hai andher mai-kade walo
mujh talak jam kyon nahin aata
mera sikka khara hai gar 'sarwat'
phir kisi kaam kyon nahin aata
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 72)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.