Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo shaKHs jis ke pyar mein aalam diwana tha

Mohammad Javed Ishaati

wo shaKHs jis ke pyar mein aalam diwana tha

Mohammad Javed Ishaati

MORE BYMohammad Javed Ishaati

    vo shaḳhs jis ke pyaar meñ aalam divāna thā

    ruḳhsat huā to yaad se ġhāfil zamāna thā

    kyā thī ḳhabar ki hai mirī āstīñ saañp

    tujh se to merī jaan mirā dostāna thā

    bijlī girī to mujh pe girī kaise ham-nashīñ

    ik saath to terā mirā āshiyāna thā

    rāvan bhī jis ko dekh ke sharmā rahā hai aaj

    itnā burā to raam bhārat huā na thā

    gañgā pe hai shabāb na jamunā hai dil-fareb

    is se to ḳhūb-tar mirā guzrā zamāna thā

    lagne lagā thā hākim-e-ālā ḳhud-ġharaz

    ġhairoñ ke haq meñ us amal mushfiqāna thā

    'jāved' yaad aatī haiñ rishtoñ chāhateñ

    kitnā hasīn daur thā kaisā zamāna thā

    wo shaKHs jis ke pyar mein aalam diwana tha

    ruKHsat hua to yaad se ghafil zamana tha

    kya thi KHabar ki tu hai meri aastin ka sanp

    tujh se to meri jaan mera dostana tha

    bijli giri to mujh pe giri kaise ham-nashin

    ek sath hi to tera mera aashiyana tha

    rawan bhi jis ko dekh ke sharma raha hai aaj

    itna bura to ram ka bhaarat hua na tha

    ganga pe hai shabab na jamuna hai dil-fareb

    is se to KHub-tar mera guzra zamana tha

    lagne laga tha hakim-e-ala hi KHud-gharaz

    ghairon ke haq mein us ka amal mushfiqana tha

    'jawed' yaad aati hain rishton ki chahaten

    kitna hasin daur tha kaisa zamana tha

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 433)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now