Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo shaKHs kaun tha muD muD ke dekhta tha mujhe

Khalid Raheem

wo shaKHs kaun tha muD muD ke dekhta tha mujhe

Khalid Raheem

MORE BYKhalid Raheem

    vo shaḳhs kaun thā muḌ muḌ ke dekhtā thā mujhe

    akelā baiTh ke pahroñ jo sochtā thā mujhe

    maiñ us ke paas se guzrā to ye huā mahsūs

    vo dhuup sar pe liye chhāñv de rahā thā mujhe

    ulaT rahā thā mirī zindagī ke vo aurāq

    kisī kitāb mānind paḌh rahā thā mujhe

    usī meñ dekh rahā thā maiñ apnā aks-e-ḳhayāl

    vo ek chehra ki jo aa.ina lagā thā mujhe

    ab us yaad liye phir rahā huuñ shahr-ba-shahr

    kabhī sukūn lamha jo de gayā thā mujhe

    vo shaḳhs mere tavajjoh ban gayā thā madār

    na jaane kaun manzar dikhā rahā thā mujhe

    maiñ us ke jism saaya thā sar-basar 'ḳhālid'

    jo raushnī samundar lag rahā thā mujhe

    wo shaKHs kaun tha muD muD ke dekhta tha mujhe

    akela baiTh ke pahron jo sochta tha mujhe

    main us ke pas se guzra to ye hua mahsus

    wo dhup sar pe liye chhanw de raha tha mujhe

    ulaT raha tha meri zindagi ke wo auraq

    kisi kitab ki manind paDh raha tha mujhe

    usi mein dekh raha tha main apna aks-e-KHayal

    wo ek chehra ki jo aaina laga tha mujhe

    ab us ki yaad liye phir raha hun shahr-ba-shahr

    kabhi sukun ka lamha jo de gaya tha mujhe

    wo shaKHs mere tawajjoh ka ban gaya tha madar

    na jaane kaun sa manzar dikha raha tha mujhe

    main us ke jism ka saya tha sar-basar 'KHalid'

    jo raushni ka samundar sa lag raha tha mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now