aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo shakl wo shanaKHt wo paikar ki aarzu

Akhilesh Tiwari

wo shakl wo shanaKHt wo paikar ki aarzu

Akhilesh Tiwari

MORE BYAkhilesh Tiwari

    vo shakl vo shanāḳht vo paikar aarzū

    patthar ho ke rah ga.ī patthar aarzū

    chhat ho falak to ḳhaak uḌāne ko paañv meñ

    sahrā meñ khīñchtī hai hameñ ghar aarzū

    zaḳhmī kiye haiñ paañv kabhī laa.ī raah par

    kab kaun jaan paayā hai Thokar aarzū

    apnī giraft meñ liye uḌtā phire kahīñ

    parvāz ko hai kab se usī par aarzū

    rahtī hai mujh meñ kab se kuñvārī hai aaj tak

    ik aarzū ke apne svayambar aarzū

    'akhilesh' kab bujhī hai havas shadīd pyaas

    dariyā tamām le samundar aarzū

    wo shakl wo shanaKHt wo paikar ki aarzu

    patthar ki ho ke rah gai patthar ki aarzu

    chhat ho falak to KHak uDane ko panw mein

    sahra mein khinchti hai hamein ghar ki aarzu

    zaKHmi kiye hain panw kabhi lai rah par

    kab kaun jaan paya hai Thokar ki aarzu

    apni giraft mein liye uDta phire kahin

    parwaz ko hai kab se usi par ki aarzu

    rahti hai mujh mein kab se kunwari hai aaj tak

    ek aarzu ke apne swayambar ki aarzu

    'akhilesh' kab bujhi hai hawas ki shadid pyas

    dariya tamam pi le samundar ki aarzu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now