wo shor tha ki lafz nahin hai zaban par
vo shor thā ki lafz nahīñ hai zabān par
āvāz qatl hone lagī harf-dān par
maiñ hālat-e-ḳhamīr meñ sab dekhtā rahā
kyā kyā guzar rahā thā mirī ek jaan par
jangal meñ is liye haiñ shikārī chhupe hue
baiThā huā hai koī darinda machān par
khulne meñ thoḌī der lagegī ye raaz bhī
khaddar lapeT baiThā huuñ resham ke thaan par
ik shakl aa.ine kī savārī pe laad lī
ik shaḳhs ko savār kiyā apne dhyān par
wo shor tha ki lafz nahin hai zaban par
aawaz qatl hone lagi harf-dan par
main haalat-e-KHamir mein sab dekhta raha
kya kya guzar raha tha meri ek jaan par
jangal mein is liye hain shikari chhupe hue
baiTha hua hai koi darinda machan par
khulne mein thoDi der lagegi ye raaz bhi
khaddar lapeT baiTha hun resham ke than par
ek shakl aaine ki sawari pe lad li
ek shaKHs ko sawar kiya apne dhyan par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.