Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo sirf qisse kahaniyon ke muamle the charagh rakh de

Charagh Sharma

wo sirf qisse kahaniyon ke muamle the charagh rakh de

Charagh Sharma

MORE BYCharagh Sharma

    vo sirf qisse kahāniyoñ ke muāmle the charāġh rakh de

    charāġh ghisne se koī jin-vin nahīñ nikalte charāġh rakh de

    hamārī ma.asūmiyat to dekho rakh aa.e dil ham huzūr-e-jānāñ

    ki jaise koī ḳhudā banda havā ke aage charāġh rakh de

    kisī ke saa.e ko qaid karne ik tarīqa batā rahā huuñ

    ik us ke aage charāġh rakh de ik us ke pīchhe charāġh rakh de

    tujhe bahut shauq thā mohabbat garm lapToñ se khelne

    le jal ga.ī na hathelī ab ḳhush kahā thā maiñ ne charāġh rakh de

    charāġh le ke bhī DhūñDne se charāġh jaisā nahīñ milegā

    so rakhnī hai to charāġh se rakh nahīñ to pyāre charāġh rakh de

    charāġh raushan zarūr kar to par is se pahle ḳhudā ḳhātir

    yahāñ pe phailā hai jo añdherā sameT zer-e-charāġh rakh de

    maiñ dil bātoñ meñ aa gayā aur uThā ke le aayā us paa.el

    dimāġh detā rahā sadā.eñ charāġh rakh de charāġh rakh de

    wo sirf qisse kahaniyon ke muamle the charagh rakh de

    charagh ghisne se koi jin-win nahin nikalte charagh rakh de

    hamari masumiyat to dekho rakh aae dil hum huzur-e-jaanan

    ki jaise koi KHuda ka banda hawa ke aage charagh rakh de

    kisi ke sae ko qaid karne ka ek tariqa bata raha hun

    ek us ke aage charagh rakh de ek us ke pichhe charagh rakh de

    tujhe bahut shauq tha mohabbat ki garm lapTon se khelne ka

    le jal gai na hatheli ab KHush kaha tha main ne charagh rakh de

    charagh le ke bhi DhunDne se charagh jaisa nahin milega

    so rakhni hai to charagh se rakh nahin to pyare charagh rakh de

    charagh raushan zarur kar to par is se pahle KHuda ki KHatir

    yahan pe phaila hai jo andhera sameT zer-e-charagh rakh de

    main dil ki baaton mein aa gaya aur uTha ke le aaya us ki pael

    dimagh deta raha sadaen charagh rakh de charagh rakh de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now