Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo taza rang-e-shafaq wo bahaar ki KHushbu

Sufia Anjum Taj

wo taza rang-e-shafaq wo bahaar ki KHushbu

Sufia Anjum Taj

MORE BYSufia Anjum Taj

    vo taaza rang-e-shafaq vo bahār ḳhushbū

    vo kachchī galiyoñ meñ uḌte ġhubār ḳhushbū

    vo TuuTī TuuTī chaukhaT vo ḳhasta ḳhasta kivāḌ

    aur un meñ maazī ke lail-o-nahār ḳhushbū

    vo gaate gaate se mausam vo dopahar sukūt

    vo saada bādaloñ meñ sau siñgār ḳhushbū

    tumhāre phuul se chehre jab banī tasvīr

    ḳhizāñ ke daur meñ aa.ī bahār ḳhushbū

    sabā guzartī huī aa.ī mere gaañv se kyā

    kahāñ se laa.ī hai bele ke haar ḳhushbū

    vo pyārī bāteñ laḌakpan vo baḌoñ hañsī

    vo māmtā sugand aur pyaar ḳhushbū

    chamakte shahr meñ yuuñ gaañv yaad aatā hai

    ke jaise dasht meñ gesū-e-yār ḳhushbū

    zamāna ho gayā garche vatan ko chhoḌe hue

    maiñ aañkh mūñdūñ to aa.e hai pyaar ḳhushbū

    vo oltī ke Tapakte hue sharāroñ meñ

    hamāre sahn ke har siñgār ḳhushbū

    ye merī ġhazloñ meñ jo rang iztirāb hai

    isī se niklegī 'anjum' qarār ḳhushbū

    wo taza rang-e-shafaq wo bahaar ki KHushbu

    wo kachchi galiyon mein uDte ghubar ki KHushbu

    wo TuTi TuTi si chaukhaT wo KHasta KHasta kiwaD

    aur un mein mazi ke lail-o-nahaar ki KHushbu

    wo gate gate se mausam wo dopahar ka sukut

    wo sada baadalon mein sau singar ki KHushbu

    tumhaare phul se chehre ki jab bani taswir

    KHizan ke daur mein aai bahaar ki KHushbu

    saba guzarti hui aai mere ganw se kya

    kahan se lai hai bele ke haar ki KHushbu

    wo pyari baaten laDakpan ki wo baDon ki hansi

    wo mamta ki sugand aur pyar ki KHushbu

    chamakte shahr mein yun ganw yaad aata hai

    ke jaise dasht mein gesu-e-yar ki KHushbu

    zamana ho gaya garche watan ko chhoDe hue

    main aankh mundun to aae hai pyar ki KHushbu

    wo olti ke Tapakte hue shararon mein

    hamare sahn hi ke har singar ki KHushbu

    ye meri ghazlon mein jo rang iztirab ka hai

    isi se niklegi 'anjum' qarar ki KHushbu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now