Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo teri inayat ki saza yaad hai ab tak

Sajjad Baqar Rizvi

wo teri inayat ki saza yaad hai ab tak

Sajjad Baqar Rizvi

MORE BYSajjad Baqar Rizvi

    vo terī ināyat sazā yaad hai ab tak

    aayā thā ḳhudā yaad ḳhudā yaad hai ab tak

    chhalkī huī āñkhoñ meñ mai-e-surḳh ke Dore

    zulfoñ vo lahrā.ī ghaTā yaad hai ab tak

    vo jism ḳhushbū pur-asrār lapTeñ

    vo mo.ajiza-e-mauj-e-sabā yaad hai ab tak

    vo chāñdī ke paanī se dhule āriz-o-ruḳh par

    kaifiyyat-e-sad-rañg-e-hinā yaad hai ab tak

    thī jis ko ba-har-gām sahāre zarūrat

    mujh ko vo tirī laġhzish-e-pā yaad hai ab tak

    vo bātoñ bātoñ meñ bigaḌ jaane ke andāz

    vo ruuTh ke manñe adā yaad hai ab tak

    qurbat tamannā ko sameTe hue duurī

    vo apnī ḳhudī terī anā yaad hai ab tak

    jo sar ba-hama-e-zo.am jhukā thā tire aage

    jo dil ki thā rāzī-ba-razā yaad hai ab tak

    halke se ishāre pe vo jaañ dene ḳhvāhish

    vo daur-e-junūñ ahd-e-vafā yaad hai ab tak

    kyā tujh ko vafāoñ adā yaad rahegī

    mujh ko to tirā tarz-e-jafā yaad hai ab tak

    ab saḳhtī-e-daurāñ kaḌī dhuup hai aur ham

    lekin tire kūche havā yaad hai ab tak

    wo teri inayat ki saza yaad hai ab tak

    aaya tha KHuda yaad KHuda yaad hai ab tak

    chhalki hui aankhon mein mai-e-surKH ke Dore

    zulfon ki wo lahrai ghaTa yaad hai ab tak

    wo jism ki KHushbu ki pur-asrar si lapTen

    wo moajiza-e-mauj-e-saba yaad hai ab tak

    wo chandi ke pani se dhule aariz-o-ruKH par

    kaifiyyat-e-sad-rang-e-hina yaad hai ab tak

    thi jis ko ba-har-gam sahaare ki zarurat

    mujh ko wo teri laghzish-e-pa yaad hai ab tak

    wo baaton hi baaton mein bigaD jaane ke andaz

    wo ruTh ke manne ki ada yaad hai ab tak

    qurbat ki tamanna ko sameTe hue duri

    wo apni KHudi teri ana yaad hai ab tak

    jo sar ba-hama-e-zoam jhuka tha tere aage

    jo dil ki tha raazi-ba-raza yaad hai ab tak

    halke se ishaare pe wo jaan dene ki KHwahish

    wo daur-e-junun ahd-e-wafa yaad hai ab tak

    kya tujh ko wafaon ki ada yaad rahegi

    mujh ko to tera tarz-e-jafa yaad hai ab tak

    ab saKHti-e-dauran ki kaDi dhup hai aur hum

    lekin tere kuche ki hawa yaad hai ab tak

    Source:

    Kulliyat-e-Baqir (Pg. 399)

    • Author: Sajjad Baqir Rizvi
      • Edition: 2010
      • Publisher: Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now