Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo tera shahr tere shahr ka har rang juda yaad aaya

Rabia Barni

wo tera shahr tere shahr ka har rang juda yaad aaya

Rabia Barni

MORE BYRabia Barni

    vo tirā shahr tire shahr har rang judā yaad aayā

    aañkh band hote ik manzar-e-tamsīl-numā yaad aayā

    be-niyāzāna vo dildārī-e-jāñ pursish-e-ġham koshish

    aañkh bhar aa.ī hai jab jab tirā andāz-e-vafā yaad aayā

    jab dil-e-zār har ik chiiz se thak haar ke uktā gayā

    ek ik pal jo tire saath guzārā thā baḌā yaad aayā

    sub.h-dam sahn-e-vatan naġhma-e-murġhān-e-chaman se māmūr

    aisī pur-shor tanhā.ī meñ to had se sivā yaad aayā

    rang qaus-e-quzah jab kabhī bādal jabīñ par ubhrī

    vo mirā sho.ala-suḳhan dilbar-e-rañgīn-qabā yaad aayā

    wo tera shahr tere shahr ka har rang juda yaad aaya

    aankh band hote hi ek manzar-e-tamsil-numa yaad aaya

    be-niyazana wo dildari-e-jaan pursish-e-gham ki koshish

    aankh bhar aai hai jab jab tera andaz-e-wafa yaad aaya

    jab dil-e-zar har ek chiz se thak haar ke ukta sa gaya

    ek ek pal jo tere sath guzara tha baDa yaad aaya

    subh-dam sahn-e-watan naghma-e-murghan-e-chaman se mamur

    aisi pur-shor si tanhai mein to had se siwa yaad aaya

    rang ki qaus-e-quzah jab kabhi baadal ki jabin par ubhri

    wo mera shoala-suKHan dilbar-e-rangin-qaba yaad aaya

    Source:

    Parwaz-e-Shauq (Pg. 94)

    • Author: Rabia Barni
      • Publisher: Hasan Publishers & Book Promoters, Hyderabad
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now