Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo uTh kar qayamat uThana kisi ka

Raja Naushad Ali Khan

wo uTh kar qayamat uThana kisi ka

Raja Naushad Ali Khan

MORE BYRaja Naushad Ali Khan

    vo uTh kar qayāmat uThānā kisī

    vo dil thaam kar baiTh jaanā kisī

    burā gar na maano to itnā kaheñ ham

    ki achchhā nahīñ hai satānā kisī

    mirī aah ne un ko taḌpā diyā hai

    jinheñ khel thā dil dukhānā kisī

    zabāñ go huī band bismil lekin

    lab-e-zaḳhm par hai fasāna kisī

    uThe mere pahlū se dil thaam kar vo

    qayāmat huā yaad aanā kisī

    mire dushman-e-jāñ sab ahl-e-jahāñ meñ

    ki āshiq hai saarā zamāna kisī

    ajab kyā hazāroñ ko bīmār Daale

    kisī ayādat ko jaanā kisī

    tire vasl se naaz hai kyoñ adū ko

    rahegā na yaksāñ zamāna kisī

    mujhe aur bhī bad-gumāñ kar rahā hai

    qasam mere sar na khānā kisī

    taḌapne meñ kyā jaane kyā muñh se nikle

    na dukhtā huā dil dukhānā kisī

    vo 'naushād' chheḌnā vasl shab

    vo sharmā ke āñkheñ jhukānā kisī

    wo uTh kar qayamat uThana kisi ka

    wo dil tham kar baiTh jaana kisi ka

    bura gar na mano to itna kahen hum

    ki achchha nahin hai satana kisi ka

    meri aah ne un ko taDpa diya hai

    jinhen khel tha dil dukhana kisi ka

    zaban go hui band bismil ki lekin

    lab-e-zaKHm par hai fasana kisi ka

    uThe mere pahlu se dil tham kar wo

    qayamat hua yaad aana kisi ka

    mere dushman-e-jaan sab ahl-e-jahan mein

    ki aashiq hai sara zamana kisi ka

    ajab kya hazaron ko bimar Dale

    kisi ki ayaadat ko jaana kisi ka

    tere wasl se naz hai kyon adu ko

    rahega na yaksan zamana kisi ka

    mujhe aur bhi bad-guman kar raha hai

    qasam mere sar ki na khana kisi ka

    taDapne mein kya jaane kya munh se nikle

    na dukhta hua dil dukhana kisi ka

    wo 'naushad' ka chheDna wasl ki shab

    wo sharma ke aankhen jhukana kisi ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now