aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo waqiat kise yaad ek zamana hua

Safi Aurangabadi

wo waqiat kise yaad ek zamana hua

Safi Aurangabadi

MORE BYSafi Aurangabadi

    vo vāqi.āt kise yaad ik zamāna huā

    kisī ne kyā na kiyā aur ham pe kyā na huā

    mirā burā to mire hasb-e-mudda.ā na huā

    bhalā huā bhī to koī mirā burā na huā

    dikhāte ham dil-e-pur-dāġh bahār use

    ye manzar aur zarā bhī ḳhushnumā na huā

    kisī dard-e-mohabbat agar thā kam-māya

    to Thahar Thahar ke phir kyuuñ zarā zarā na huā

    tirā irāda mubārak tujhe magar ai dil

    ye naqsh-e-pā agar us naqsh-e-pā na huā

    sitam kare bhī to samjhūñ ki ye sitam nahīñ

    ḳhafā huā bhī to jānoñ ki ḳhafā na huā

    kyā jab aane iqrār aap bhuul ga.e

    ye ek va.ada to shāyad kabhī vafā na huā

    zamāna aap ko āshiq-navāz kahtā hai

    ye sach bhī ho to kabhī ham ko kuchh atā na huā

    vo kyā kaheñge jo iqbāl na ho mujh ko

    vo kyā kareñge jo maiñ qābil-e-ḳhatā na huā

    agarche shaiḳh meñ lākhoñ karāmateñ aa.iiñ

    magar ye bande banda rahā ḳhudā na huā

    razā-e-dost ke hote haiñ aur kyā ma.anī

    ki mujh se un kabhī aaj tak gilā na huā

    vo ḳhud mile to batā kyā javāb duuñ ai dil

    ye uzr lañg hai koī bhī rahnumā na huā

    safī' nasīb bure hoñ to kyā kare koī

    nahīñ to qais bhī kuchh aadmī burā na huā

    wo waqiat kise yaad ek zamana hua

    kisi ne kya na kiya aur hum pe kya na hua

    mera bura to mere hasb-e-muddaa na hua

    bhala hua bhi to koi mera bura na hua

    dikhate hum dil-e-pur-dagh ki bahaar use

    ye manzar aur zara sa bhi KHushnuma na hua

    kisi ka dard-e-mohabbat agar tha kam-maya

    to Thahar Thahar ke phir kyun zara zara na hua

    tera irada mubarak tujhe magar ai dil

    ye naqsh-e-pa agar us ka hi naqsh-e-pa na hua

    sitam kare bhi to samjhun ki ye sitam hi nahin

    KHafa hua bhi to jaanon ki tu KHafa na hua

    kya jab aane ka iqrar aap bhul gae

    ye ek wada to shayad kabhi wafa na hua

    zamana aap ko aashiq-nawaz kahta hai

    ye sach bhi ho to kabhi hum ko kuchh ata na hua

    wo kya kahenge jo iqbaal hi na ho mujh ko

    wo kya karenge jo main qabil-e-KHata na hua

    agarche shaiKH mein lakhon karamaten aain

    magar ye bande ka banda raha KHuda na hua

    raza-e-dost ke hote hain aur kya mani

    ki mujh se un ka kabhi aaj tak gila na hua

    wo KHud mile to bata kya jawab dun ai dil

    ye uzr lang hai koi bhi rahnuma na hua

    safi' nasib bure hon to kya kare koi

    nahin to qais bhi kuchh aadmi bura na hua

    Source:

    Kulliyat-e-Safi (Pg. 95)

    • Author: Safi Auranjabadi
      • Edition: 2000
      • Publisher: Urdu Acadami Hayderabad
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now