Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo yaqin paikar hai kis ka nur-e-dida kaun hai

Ghaus Mohammad Ghausi

wo yaqin paikar hai kis ka nur-e-dida kaun hai

Ghaus Mohammad Ghausi

MORE BYGhaus Mohammad Ghausi

    vo yaqīñ paikar hai kis nūr-e-dīda kaun hai

    zulmat-e-shab meñ charāġh-e-āsā damīda kaun hai

    gard-e-jāda kaun hai manzil rasīda kaun hai

    vaqt kyā kahtā hai suniye barguzīda kaun hai

    zahr-e-ġham juz-o-jāñ kar phir bhī maut aa.e to kyā

    yuuñ bhī amrit yahāñ lazzat-chashīda kaun hai

    farsh se tā-arsh yaksāñ hai sadā-e-marhabā

    dekhnā ye sar-ba-kaf ye sar-burīda kaun hai

    baat karte haiñ to muñh se duudh aatī hai

    un meñ apnī mahfiloñ rañg-dīda kaun hai

    ḳhaak se kar mafar kis ko na ḳhush aayā safar

    dil girafta kaun hai ḳhātir-kabīda kaun hai

    apne saa.e par jab markūz the zehn-o-nazar

    koī kyoñ kar dekhtā qāmat-kashīda kaun hai

    jab dur-e-kirdār par aañch aa ga.ī kyā rah gayā

    ab ye sarf-e-mātam-e-rañg-e-parīda kaun hai

    kis qadar shā.istagī se kah gayā vo apnā ġham

    dostoñ ḳhair ho dushman-gazīda kaun hai

    ġham na kar 'ġhausī' agar murda nahīñ terā zamīr

    tujh se baḌh kar ḳhud tirā dīda-shunīda kaun hai

    wo yaqin paikar hai kis ka nur-e-dida kaun hai

    zulmat-e-shab mein charagh-e-asa damida kaun hai

    gard-e-jada kaun hai manzil rasida kaun hai

    waqt kya kahta hai suniye barguzida kaun hai

    zahr-e-gham pi juz-o-jaan kar phir bhi maut aae to kya

    yun bhi amrit ka yahan lazzat-chashida kaun hai

    farsh se ta-arsh yaksan hai sada-e-marhaba

    dekhna ye sar-ba-kaf ye sar-burida kaun hai

    baat karte hain to munh se dudh ki aati hai bu

    un mein apni mahfilon ka rang-dida kaun hai

    KHak se pa kar mafar kis ko na KHush aaya safar

    dil girafta kaun hai KHatir-kabida kaun hai

    apne sae par hi jab markuz the zehn-o-nazar

    koi kyon kar dekhta qamat-kashida kaun hai

    jab dur-e-kirdar par aanch aa gai kya rah gaya

    ab ye sarf-e-matam-e-rang-e-parida kaun hai

    kis qadar shaistagi se kah gaya wo apna gham

    doston ki KHair ho dushman-gazida kaun hai

    gham na kar 'ghausi' agar murda nahin tera zamir

    tujh se baDh kar KHud tera dida-shunida kaun hai

    Source:

    Aks-e-Aaina (Pg. 100)

    • Author: Ghaus Mohammad Ghausi
      • Publisher: Fakhruddin Ali Ahmad Memorial, Lucknow
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now