Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo zaiqa bhi ajab sidq-e-nagawar mein tha

Qutub Sarshar

wo zaiqa bhi ajab sidq-e-nagawar mein tha

Qutub Sarshar

MORE BYQutub Sarshar

    vo zā.iqa bhī 'ajab sidq-e-nāgavār meñ thā

    ġhubār koī mafhūm harf-e-zār meñ thā

    na sharīk-e-‘adāvat thā aur na pyaar meñ thā

    tirā yaqīn tijārat meñ kārobār meñ thā

    bulandiyoñ se girā bhī to ḳhush-gavār lagā

    mire zavāl uslūb ābshār meñ thā

    kise dimāġh ki tohmat junūñ sar letā

    ki jab ḳhumār-e-anā zauq-e-ishtihār meñ thā

    kise sunā.eñ karāheñ sisakte sāyoñ

    samā'atoñ ḳhudā shor ke hisār meñ thā

    'ajīb dhund hai phailī huī jidhar dekho

    ThiThak ke apnī jagah har koī dayār meñ thā

    ġhazal ke she'r mānind thā suḳhan us

    kamāl-e-ramz-e-suḳhan tarz-e-iḳhtisār meñ thā

    hai zaḳhm zaḳhm lahū-āshnā badan saarā

    ye chakrvyūh to yāroñ ke e'tibār meñ thā

    maiñ us ke saath ho jaatā kaise mumkin thā

    vo lauT aatā kahāñ us ke iḳhtiyār meñ thā

    sharīk-e-vāqi'a kartā hai apne qaarī ko

    'ajab kamāl-e-hunar vāqi'a-nigār meñ thā

    qayāmateñ ka.ī mujh par guzar ga.iiñ 'sarshār'

    maiñ ḳhush-gumān karam ke intizār meñ thā

    wo zaiqa bhi 'ajab sidq-e-nagawar mein tha

    ghubar sa koi mafhum harf-e-zar mein tha

    na tu sharik-e-‘adawat tha aur na pyar mein tha

    tera yaqin tijarat mein karobar mein tha

    bulandiyon se gira bhi to KHush-gawar laga

    mere zawal ka uslub aabshaar mein tha

    kise dimagh ki tohmat junun ki sar leta

    ki jab KHumar-e-ana zauq-e-ishtihaar mein tha

    kise sunaen karahen sisakte sayon ki

    sama'aton ka KHuda shor ke hisar mein tha

    'ajib dhund hai phaili hui jidhar dekho

    ThiThak ke apni jagah har koi dayar mein tha

    ghazal ke she'r ki manind tha suKHan us ka

    kamal-e-ramz-e-suKHan tarz-e-iKHtisar mein tha

    hai zaKHm zaKHm lahu-ashna badan sara

    ye chakrwyuh to yaron ke e'tibar mein tha

    main us ke sath hi ho jata kaise mumkin tha

    wo lauT aata kahan us ke iKHtiyar mein tha

    sharik-e-waqi'a karta hai apne qari ko

    'ajab kamal-e-hunar waqi'a-nigar mein tha

    qayamaten kai mujh par guzar gain 'sarshaar'

    main KHush-guman karam hi ke intizar mein tha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now