wo zamana-saz bhi tha aur wafa-pesha bhi tha

Tajdar Adil

wo zamana-saz bhi tha aur wafa-pesha bhi tha

Tajdar Adil

MORE BYTajdar Adil

  vo zamāna-sāz bhī thā aur vafā-pesha bhī thā

  maiñ ne chāhā nahīñ us shaḳhs ko samjhā bhī thā

  thī tamāzat ishq itnī ki vo vāpas gayā

  saath chalne ke liye kuchh duur tak aayā bhī thā

  ye haqīqat sahī lekin use mānegā kaun

  log pyāse bhī rahe aur aañkh meñ dariyā bhī thā

  is qadar chāhā use jitnā nahīñ chāhe koī

  ye mohabbat nahīñ us se mirā badlā bhī thā

  ḳhud yaqīñ dil ko na thā is se judā hone talak

  vo judā ho jā.egā is baat ko sochā bhī thā

  hijr shab meñ jo merī aañkh se Dhalkā nahīñ

  vo sitāra thā jo sub.h-e-vasl meñ chamkā bhī thā

  dasht-e-vīrāñ meñ kahīñ kuchh phuul bhī haiñ yaad ke

  sirf chhāyā nahīñ bādal kabhī barsā bhī thā

  is shanāsā.ī da.avā nā-shanāsī to hai

  mujh ko dekhā bhī thā jis ne aur jo chauñkā bhī thā

  ab maiñ lab-basta huuñ 'ādil' to faqat is vāste

  sirf samjhā nahīñ us shaḳhs ko chāhā bhī thā

  wo zamana-saz bhi tha aur wafa-pesha bhi tha

  main ne chaha hi nahin us shaKHs ko samjha bhi tha

  thi tamazat ishq ki itni ki wo wapas gaya

  sath chalne ke liye kuchh dur tak aaya bhi tha

  ye haqiqat hi sahi lekin use manega kaun

  log pyase bhi rahe aur aankh mein dariya bhi tha

  is qadar chaha use jitna nahin chahe koi

  ye mohabbat hi nahin us se mera badla bhi tha

  KHud yaqin dil ko na tha is se juda hone talak

  wo juda ho jaega is baat ko socha bhi tha

  hijr ki shab mein jo meri aankh se Dhalka nahin

  wo sitara tha jo subh-e-wasl mein chamka bhi tha

  dasht-e-viran mein kahin kuchh phul bhi hain yaad ke

  sirf chhaya hi nahin baadal kabhi barsa bhi tha

  is shanasai ka dawa na-shanasi hi to hai

  mujh ko dekha bhi tha jis ne aur jo chaunka bhi tha

  ab main lab-basta hun 'adil' to faqat is waste

  sirf samjha hi nahin us shaKHs ko chaha bhi tha

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY