Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wusat mere KHayal mein arz-o-sama ki hai

Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuni

wusat mere KHayal mein arz-o-sama ki hai

Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuni

MORE BYRasool Jahan Begam Makhfi Badayuni

    vus.at mire ḳhayāl meñ arz-o-samā hai

    mahram nazar mirī haram-e-kibriyā hai

    har shai se husn-e-sān.e-e-qudrat hai āshkār

    har gul meñ basī kisī rangīñ adā hai

    pahuñcheñ duā.eñ bāb-e-harīm-e-qubūl tak

    tāsīr ye kisī dil-e-dard-āshnā hai

    gulshan meñ hai ḳhirām urūs-e-bahār

    katre haiñ gul ye turfa ravish naqsh-e-pā hai

    ab dīdanī hai har gul-e-rangīñ bāñkpan

    aalam shabāb hai nazākat balā hai

    gulzār marġh-zār meñ aur sabza-zār meñ

    naddī ravāñ nasīm ke juud o saḳhā hai

    bulbul lai meñ barbat-e-tauhīd hai soz

    har samt dhuum baaġh meñ sall-e-alā hai

    naġhma-sarā hai fāḳhta vahdat ke saaz par

    nāloñ meñ qumriyoñ ke ajab nai safā hai

    kaliyoñ ke qahqahe haiñ fazā-e-basīt meñ

    ġhunchoñ se aaj āñkh-micholī sabā hai

    'maḳhfī' kisī ġharīb ke nāloñ hai asar

    aaya hai abr jhuum ke rahmat ḳhudā hai

    wusat mere KHayal mein arz-o-sama ki hai

    mahram nazar meri haram-e-kibriya ki hai

    har shai se husn-e-sane-e-qudrat hai aashkar

    har gul mein bu basi kisi rangin ada ki hai

    pahunchen duaen bab-e-harim-e-qubul tak

    tasir ye kisi dil-e-dard-ashna ki hai

    gulshan mein hai KHiram urus-e-bahaar ka

    katre hain gul ye turfa rawish naqsh-e-pa ki hai

    ab didani hai har gul-e-rangin ka bankpan

    aalam shabab ka hai nazakat bala ki hai

    gulzar margh-zar mein aur sabza-zar mein

    naddi rawan nasim ke jud o saKHa ki hai

    bulbul ki lai mein barbat-e-tauhid ka hai soz

    har samt dhum bagh mein sall-e-ala ki hai

    naghma-sara hai faKHta wahdat ke saz par

    nalon mein qumriyon ke ajab nai safa ki hai

    kaliyon ke qahqahe hain faza-e-basit mein

    ghunchon se aaj aankh-micholi saba ki hai

    'maKHfi' kisi gharib ke nalon ka hai asar

    aaya hai abr jhum ke rahmat KHuda ki hai

    Source:

    Uroos-e-Sukhan (Pg. 165)

    • Author: Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuni
      • Publisher: Matbua Dilli Printing Works, Delhi
      • Year of Publication: 1946
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now