Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ya gham-e-mahbub ya jam-e-sharab

Mohammad Saeed Razmi

ya gham-e-mahbub ya jam-e-sharab

Mohammad Saeed Razmi

MORE BYMohammad Saeed Razmi

    ġham-e-mahbūb jām-e-sharāb

    haa.e vo sarmastī-e-ahd-e-shabāb

    mujh se pūchh ai ārzū-e-kāmyāb

    e'tibār-e-nāla-e-nā-mustajāb

    al-hazar ai sāzish-e-husn-o-shabāb

    kar diye dair-o-haram donoñ ḳharāb

    muḳhtasar-tar hai yahī sharh-e-firāq

    tumhārī yaad phir iztirāb

    haa.e in āñkhoñ mastī kyā kahūñ

    har nazar parvarda-e-mauj-e-sharāb

    ya gham-e-mahbub ya jam-e-sharab

    hae wo sarmasti-e-ahd-e-shabab

    mujh se puchh ai aarzu-e-kaamyab

    e'tibar-e-nala-e-na-mustajab

    al-hazar ai sazish-e-husn-o-shabab

    kar diye dair-o-haram donon KHarab

    muKHtasar-tar hai yahi sharh-e-firaq

    ya tumhaari yaad ya phir iztirab

    hae in aankhon ki masti kya kahun

    har nazar parwarda-e-mauj-e-sharab

    Source:

    Kalam-e-Razmi (Pg. 33)

    • Author: Mohammad Saeed Razmi
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now