Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ya sitam kar ya karam chahe so kar

Bal Mukund Besabr

ya sitam kar ya karam chahe so kar

Bal Mukund Besabr

MORE BYBal Mukund Besabr

    sitam kar karam chāhe so kar

    chāhte haiñ tujh ko ham chāhe so kar

    maar chāhe chhoḌ mujh ko jiite

    maiñ na chhoḌūñgā qadam chāhe so kar

    bazm meñ mahrūm mat rakh de mujhe

    jām-e-mai jām-e-sam chāhe so kar

    kufr islām kuchh kar iḳhtiyār

    ek hai dair-o-haram chāhe so kar

    maar khā.ūñgā par aane yahāñ

    maiñ na khā.ūñgā qasam chāhe so kar

    ab to maiñ shikva karūñgā ho so ho

    naak meñ aayā hai dam chāhe so kar

    ik ġhazal to aur bhī 'besabr'

    is zamīñ meñ kar raqam chāhe so kar

    ya sitam kar ya karam chahe so kar

    chahte hain tujh ko hum chahe so kar

    mar chahe chhoD mujh ko jite ji

    main na chhoDunga qadam chahe so kar

    bazm mein mahrum mat rakh de mujhe

    jam-e-mai ya jam-e-sam chahe so kar

    kufr ya islam kuchh kar iKHtiyar

    ek hai dair-o-haram chahe so kar

    mar khaunga par aane ki yahan

    main na khaunga qasam chahe so kar

    ab to main shikwa karunga ho so ho

    nak mein aaya hai dam chahe so kar

    ek ghazal to aur bhi 'besabr' tu

    is zamin mein kar raqam chahe so kar

    Source:

    Ghalib Ka Ek Mashshaq Shagird Balmukund Besabr (Pg. 123)

    • Author: Kalidas Gupta Raza
      • Publisher: Sakar Publisher, Mumbai
      • Year of Publication: 1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now