Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ya to wo qurb tha ya dur hua jata hun

Syed Bashir Husain Bashir

ya to wo qurb tha ya dur hua jata hun

Syed Bashir Husain Bashir

MORE BYSyed Bashir Husain Bashir

    to vo qurb thā duur huā jaatā huuñ

    ab to apne se bhī mastūr huā jaatā huuñ

    sho.ala-e-ishq vo sho.ala hai ki allāh allāh

    sadqe is naar ke maiñ nuur huā jaatā huuñ

    ālam-e-jabr meñ quvvat taḳhayyul thā bahut

    ab vo quvvat hai ki majbūr huā jaatā huuñ

    ishq raah meñ manzil koī khoī nahīñ

    kyā ḳhabar paas huuñ duur huā jaatā huuñ

    kis ko samjhā.ūñ tajalli-e-tabassum faroġh

    barq ye vo hai ki maiñ tuur huā jaatā huuñ

    terā har ġham hai tarab-ḳhez tire ġham qasam

    shiddat-e-dard se masrūr huā jaatā huuñ

    kah do tayyār kareñ dār-o-rasan phir se 'bashīr'

    ālam-e-kaif maiñ mansūr huā jaatā huuñ

    ya to wo qurb tha ya dur hua jata hun

    ab to apne se bhi mastur hua jata hun

    shoala-e-ishq wo shoala hai ki allah allah

    sadqe is nar ke main nur hua jata hun

    aalam-e-jabr mein quwwat ka taKHayyul tha bahut

    ab wo quwwat hai ki majbur hua jata hun

    ishq ki rah mein manzil koi khoi hi nahin

    kya KHabar pas hun ya dur hua jata hun

    kis ko samjhaun tajalli-e-tabassum ka farogh

    barq ye wo hai ki main tur hua jata hun

    tera har gham hai tarab-KHez tere gham ki qasam

    shiddat-e-dard se masrur hua jata hun

    kah do tayyar karen dar-o-rasan phir se 'bashir'

    aalam-e-kaif main mansur hua jata hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now