Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad aisa koi aaya hai ki ji jaanta hai

Payam Fatehpuri

yaad aisa koi aaya hai ki ji jaanta hai

Payam Fatehpuri

MORE BYPayam Fatehpuri

    yaad aisā koī aaya hai ki jāntā hai

    is qadar dil ko dukhāyā hai ki jāntā hai

    ishq yuuñ jaan ko aaya hai ki jāntā hai

    roz-o-shab aisā rulāyā hai ki jāntā hai

    kyā mohabbat bhī koī jurm hai is duniyā ne

    aisā hangāma uThāyā hai ki jāntā hai

    ho sakegā na masīhā se bhī is dil ilaaj

    zaḳhm vo us ne lagāyā hai ki jāntā hai

    vo mujhe bhuul bhī saktā hai ye ummīd na thī

    is tarah us ne bhulāyā hai ki jāntā hai

    dil hai qaabū meñ na maiñ apne bas meñ huuñ 'payām'

    aisā dīvāna banāyā hai ki jāntā hai

    yaad aisa koi aaya hai ki ji jaanta hai

    is qadar dil ko dukhaya hai ki ji jaanta hai

    ishq yun jaan ko aaya hai ki ji jaanta hai

    roz-o-shab aisa rulaya hai ki ji jaanta hai

    kya mohabbat bhi koi jurm hai is duniya ne

    aisa hangama uThaya hai ki ji jaanta hai

    ho sakega na masiha se bhi is dil ka ilaj

    zaKHm wo us ne lagaya hai ki ji jaanta hai

    wo mujhe bhul bhi sakta hai ye ummid na thi

    is tarah us ne bhulaya hai ki ji jaanta hai

    dil hai qabu mein na main apne hi bas mein hun 'payam'

    aisa diwana banaya hai ki ji jaanta hai

    Source:

    Dayar-e-Saba (Pg. 98)

    • Author: Payam Fatehpuri
      • Publisher: Payam Fatehpuri
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now