yaad chamki hai dagh mein dil ke
yaad chamkī hai daaġh meñ dil ke
aa.e jugnū surāġh meñ dil ke
ġhuncha-e-jāñ ḳhamosh hai kab se
phir sabā aa.e baaġh meñ dil ke
gul na ho jaa.eñ āñsuoñ ke diye
ḳhuun kam hai charāġh meñ dil ke
mai nihāyat surūr chāhte haiñ
mai unḌelo ayāġh meñ dil ke
jaane kab ye ḳhamosh ho jaa.e
dam nahīñ ab charāġh meñ dil ke
rāh-e-ulfat se baaz aa.e kyoñ
dil hī dil hai dimāġh meñ dil ke
yaad chamki hai dagh mein dil ke
aae jugnu suragh mein dil ke
ghuncha-e-jaan KHamosh hai kab se
phir saba aae bagh mein dil ke
gul na ho jaen aansuon ke diye
KHun kam hai charagh mein dil ke
mai nihayat surur chahte hain
mai unDelo ayagh mein dil ke
jaane kab ye KHamosh ho jae
dam nahin ab charagh mein dil ke
rah-e-ulfat se baz aae kyon
dil hi dil hai dimagh mein dil ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.