Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad hai pahle-pahal ki wo mulaqat ki baat

Hafeez Jaunpuri

yaad hai pahle-pahal ki wo mulaqat ki baat

Hafeez Jaunpuri

MORE BYHafeez Jaunpuri

    yaad hai pahle-pahal vo mulāqāt baat

    vo maze din ke na bhūle haiñ na vo raat baat

    kabhī masjid meñ jo vaa.iz bayāñ suntā huuñ

    yaad aatī hai mujhe pīr-e-ḳharābāt baat

    yaad piirī meñ kahāñ ab vo javānī tarañg

    sub.h hote hameñ bhuul ga.ī raat baat

    shaiḳh majma-e-zindāñ meñ nasīhat kaisī

    kaun suntā hai yahāñ qibla-e-hājāt baat

    haa.e phir chheḌ diyā zikr adū tum ne

    phir nikālī na vahī tark-e-mulāqāt baat

    jab liyā ahd shab-e-vasl kahā is ne 'hafīz'

    sub.h ko yaad rahegī ye hameñ raat baat

    yaad hai pahle-pahal ki wo mulaqat ki baat

    wo maze din ke na bhule hain na wo raat ki baat

    kabhi masjid mein jo waiz ka bayan sunta hun

    yaad aati hai mujhe pir-e-KHarabaat ki baat

    yaad piri mein kahan ab wo jawani ki tarang

    subh hote hi hamein bhul gai raat ki baat

    shaiKH ji majma-e-zindan mein nasihat kaisi

    kaun sunta hai yahan qibla-e-hajat ki baat

    hae phir chheD diya zikr adu ka tum ne

    phir nikali na wahi tark-e-mulaqat ki baat

    jab liya ahd shab-e-wasl kaha is ne 'hafiz'

    subh ko yaad rahegi ye hamein raat ki baat

    Source:

    Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-65 Page Number-107)

    • Author: Tufail Ahmad Ansari
      • Edition: 2010
      • Publisher: Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now