Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad kar kar ke use waqt guzara jae

Abbas Tabish

yaad kar kar ke use waqt guzara jae

Abbas Tabish

MORE BYAbbas Tabish

    yaad kar kar ke use vaqt guzārā jaa.e

    kis ko fursat hai vahāñ kaun dobāra jaa.e

    shak hotā hai har ik pe ki kahīñ na ho

    ab tire naam se kis kis ko pukārā jaa.e

    sā.ira tujh ko bahut yaad haiñ us bāteñ

    kyuuñ na kuchh vaqt tire saath guzārā jaa.e

    jis tarah peḌ ko baḌhne nahīñ detī koī bel

    kyā zarūrī hai mujhe gher ke maarā jaa.e

    ain mumkin hai ki ho us se ilāj-e-vahshat

    shahr meñ zor se ik naam pukārā jaa.e

    us hasīñ shaḳhs ḳhātir jo kahā hai 'tābish'

    kam hai is sher ko jitnā bhī sañvārā jaa.e

    yaad kar kar ke use waqt guzara jae

    kis ko fursat hai wahan kaun dobara jae

    shak sa hota hai har ek pe ki kahin tu hi na ho

    ab tere nam se kis kis ko pukara jae

    saira tujh ko bahut yaad hain us ki baaten

    kyun na kuchh waqt tere sath guzara jae

    jis tarah peD ko baDhne nahin deti koi bel

    kya zaruri hai mujhe gher ke mara jae

    ain mumkin hai ki ho us se ilaj-e-wahshat

    shahr mein zor se ek nam pukara jae

    us hasin shaKHs ki KHatir jo kaha hai 'tabish'

    kam hai is sher ko jitna bhi sanwara jae

    Source:

    Ishq Abaab (Pg. 603)

    • Author: Abbas Tabish
      • Edition: 2011
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now