Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad kar wo husn-e-sabz aur ankhDiyan matwaliyan

Jurat Qalandar Bakhsh

yaad kar wo husn-e-sabz aur ankhDiyan matwaliyan

Jurat Qalandar Bakhsh

MORE BYJurat Qalandar Bakhsh

    yaad kar vo husn-e-sabz aur añkhḌiyāñ matvāliyāñ

    kāTte haiñ ro ro sāvan rāteñ kāliyāñ

    shab tasavvur bāñdh kar us jumbish-e-mizhgāñ vaah

    ḳhud-baḳhud kis kis maze se ham ne chhaḌiyāñ khā liyāñ

    dekheñ kyā un lachak us sā.ad-e-nāzuk baġhair

    khīñchtī haiñ kyuuñ hameñ kāñToñ meñ gul Dāliyāñ

    kuchh na kuchh kar baiThtā huuñ baat us ke bar-ḳhilāf

    kisī sūrat vo de jhuñjhlā ke mujh ko gāliyāñ

    mah asīr-e-hāla us dekh baalā kyuuñ na ho

    ḳhanda-zan hoñ mahr par jis jaḌāv-bāliyāñ

    shab ko jo us tasavvur bañdh gayā to ham ne bas

    us ke mukhḌe balā.eñ sub.h tak kyā kyā liyāñ

    vaqt-e-iz.hār-e-vafā mahfil meñ us jis se aañkh

    mil ga.ī to bas vo sab bāteñ usī par Dhāliyāñ

    barg-e-gul un ko kahūñ pāra-e-yāqūt vaah

    dekhiyo bin paan khaa.e un laboñ lāliyāñ

    kūcha-e-qātil ko gar musalaḳh kahūñ to hai bajā

    jab na tab dekho to bahtī haiñ lahū nāliyāñ

    ḳhūn-e-dil āñkhoñ meñ bhar aatā hai jab aatī hai yaad

    vo mai-e-gul-rañg bhar bhar ke denī pyāliyāñ

    tāk-jhāñk us kahūñ kyā maiñ ki tiflī meñ bhī thiiñ

    us ke hāthoñ ghar dīvāroñ meñ har jāliyāñ

    kaash 'jur.at' vasl din hove jaldī se nasīb

    hijr to khaa.e jaatī haiñ ye rāteñ kāliyāñ

    yaad kar wo husn-e-sabz aur ankhDiyan matwaliyan

    kaTte hain ro hi ro sawan ki raaten kaliyan

    shab tasawwur bandh kar us jumbish-e-mizhgan ka wah

    KHud-baKHud kis kis maze se hum ne chhaDiyan kha liyan

    dekhen kya un ki lachak us saad-e-nazuk baghair

    khinchti hain kyun hamein kanTon mein gul ki Daliyan

    kuchh na kuchh kar baiThta hun baat us ke bar-KHilaf

    ta kisi surat wo de jhunjhla ke mujh ko galiyan

    mah asir-e-haala us ka dekh baala kyun na ho

    KHanda-zan hon mahr par jis ki jaDaw-baaliyan

    shab ko jo us ka tasawwur bandh gaya to hum ne bas

    us ke mukhDe ki balaen subh tak kya kya liyan

    waqt-e-izhaar-e-wafa mahfil mein us ki jis se aankh

    mil gai to bas wo sab baaten usi par Dhaaliyan

    barg-e-gul un ko kahun ya para-e-yaqut wah

    dekhiyo bin pan khae un labon ki laliyan

    kucha-e-qatil ko gar musalaKH kahun to hai baja

    jab na tab dekho to bahti hain lahu ki naliyan

    KHun-e-dil aankhon mein bhar aata hai jab aati hai yaad

    wo mai-e-gul-rang ki bhar bhar ke deni pyaliyan

    tak-jhank us ki kahun kya main ki tifli mein bhi thin

    us ke hathon ghar ki diwaron mein har su jaliyan

    kash 'jurat' wasl ka din howe jaldi se nasib

    hijr ki to khae jati hain ye raaten kaliyan

    Source:

    Kulliyat-e-Jura t áVolume-01 â (Pg. page-433 ebook-473)

    • Author: Jurat Qalandar Bakhsh
      • Edition: 1968
      • Publisher: Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now