Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad se teri faza-e-shab munawwar ho gai

Wajahat Ali Sandailvi

yaad se teri faza-e-shab munawwar ho gai

Wajahat Ali Sandailvi

MORE BYWajahat Ali Sandailvi

    yaad se terī fazā-e-shab munavvar ho ga.ī

    terī ḳhushbū se mirī jaañ tak mo.attar ho ga.ī

    ḳhūñ-bahā maazī denā ham pe vājib ho gayā

    fasl ab teġh-o-tabar bhī muqarrar ho ga.ī

    gardish-e-daurāñ se paspā ho nahīñ paayā magar

    tere māthe shikan merā muqaddar ho ga.ī

    vo nigāh-e-dil-rubā jis par ki ham ko naaz thā

    dil ke shīshe ke liye kyoñ aaj patthar ho ga.ī

    kaise samjhūñ ab girānī zamāna aa gayā

    ḳhūn-e-insāñ to qīmat kam se kamtar ho ga.ī

    zulm ke sho.ale bhaḌakte rahe haiñ har taraf

    zindagī kyā hai hadīs-e-teġh-o-ḳhanjar ho ga.ī

    maiñ hujūm-e-be-karāñ meñ kho chukī pahchān huuñ

    āgahī apnī faqat ik dīda-e-tar ho ga.ī

    tere aane se chaman meñ aa ga.ī phir se bahār

    ḳhushk Tahnī bhī yahāñ ab to gul-e-tar ho ga.ī

    vo bhī thī taḳhlīq ke sail-e-ravāñ ik tarang

    rūh-e-insāñ kaise ġhamgīn-o-mukaddar ho ga.ī

    dard ke rishte se duniyā mere dil meñ aa basī

    ik zarā āb-jū baḌh kar samundar ho ga.ī

    lauT kar tanhā.iyāñ kartī sukūñ tārāj hai

    yaad terī merī ḳhātir ek lashkar ho ga.ī

    is jabīñ par aa gayā arq-e-nadāmat guhar

    Duub jā.ūñ buuñd vo aisā samundar ho ga.ī

    yaad se teri faza-e-shab munawwar ho gai

    teri KHushbu se meri jaan tak moattar ho gai

    KHun-baha mazi ka dena hum pe wajib ho gaya

    fasl ab tegh-o-tabar ki bhi muqarrar ho gai

    gardish-e-dauran se paspa ho nahin paya magar

    tere mathe ki shikan mera muqaddar ho gai

    wo nigah-e-dil-ruba jis par ki hum ko naz tha

    dil ke shishe ke liye kyon aaj patthar ho gai

    kaise samjhun ab girani ka zamana aa gaya

    KHun-e-insan ki to qimat kam se kamtar ho gai

    zulm ke shoale bhaDakte ja rahe hain har taraf

    zindagi kya hai hadis-e-tegh-o-KHanjar ho gai

    main hujum-e-be-karan mein kho chuki pahchan hun

    aagahi apni faqat ek dida-e-tar ho gai

    tere aane se chaman mein aa gai phir se bahaar

    KHushk Tahni bhi yahan ab to gul-e-tar ho gai

    wo bhi thi taKHliq ke sail-e-rawan ki ek tarang

    ruh-e-insan kaise ghamgin-o-mukaddar ho gai

    dard ke rishte se duniya mere dil mein aa basi

    ek zara si aab-ju baDh kar samundar ho gai

    lauT kar tanhaiyan karti sukun taraj hai

    yaad teri meri KHatir ek lashkar ho gai

    is jabin par aa gaya arq-e-nadamat ka guhar

    Dub jaun bund wo aisa samundar ho gai

    Source:

    Roshni (Pg. 129)

    • Author: Wajahat Ali Sandailvi
      • Publisher: Wajahat Ali Sandailvi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now