Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaadon ki tajsim pe mehnat hoti hai

Ahmad Shahryar

yaadon ki tajsim pe mehnat hoti hai

Ahmad Shahryar

MORE BYAhmad Shahryar

    yādoñ tajsīm pe mehnat hotī hai

    bekārī bharpūr mashaqqat hotī hai

    aisā ḳhālī aur itnā gunjān ābād

    ā.īne ko dekh ke hairat hotī hai

    dīvāroñ apnā sahrā hotā hai

    aur kamroñ apnī vahshat hotī hai

    us ko yaad karo shiddat se yaad karo

    is se tanhā.ī meñ barkat hotī hai

    bachpan jauban aur buḌhāpā aur phir maut

    sab chalte rahne aadat hotī hai

    jiinā to bas lafz hai ik be-ma.anī lafz

    maut se pahle maut fursat hotī hai

    aisī āzādī ab aur kahāñ hogī

    ishq meñ sab karne ijāzat hotī hai

    aañsū motī jugnū taara sūraj chāñd

    har qatre apnī qismat hotī hai

    yaadon ki tajsim pe mehnat hoti hai

    bekari bharpur mashaqqat hoti hai

    aisa KHali aur itna gunjaan aabaad

    aaine ko dekh ke hairat hoti hai

    diwaron ka apna sahra hota hai

    aur kamron ki apni wahshat hoti hai

    us ko yaad karo shiddat se yaad karo

    is se tanhai mein barkat hoti hai

    bachpan jauban aur buDhapa aur phir maut

    sab chalte rahne ki aadat hoti hai

    jina to bas lafz hai ek be-mani lafz

    maut se pahle maut ki fursat hoti hai

    aisi aazadi ab aur kahan hogi

    ishq mein sab karne ki ijazat hoti hai

    aansu moti jugnu tara suraj chand

    har qatre ki apni qismat hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now