Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaadon mein rang bhar raha hun

Izhar Warsi

yaadon mein rang bhar raha hun

Izhar Warsi

MORE BYIzhar Warsi

    yādoñ meñ rang bhar rahā huuñ

    zaḳhmoñ ko gulāb kar rahā huuñ

    har saañs ek an-sunī aahaT

    maiñ jaane kis pe mar rahā huuñ

    duniyā.eñ vajūd rahī haiñ

    reza reza bikhar rahā huuñ

    ik lamha-e-gum-shuda ḳhātir

    sadiyoñ hisāb kar rahā huuñ

    maqsūd-e-safar hai kuchh to aisā

    sho'loñ se jo guzar rahā huuñ

    hai ek junūn-e-ḳhud-shanāsī

    aksar apne sar rahā huuñ

    tūfān guzar chukā hai kab

    ab dariyā utar rahā huuñ

    rishte mazbūt ho rahe haiñ

    peshāniyoñ par ubhar rahā huuñ

    thā faḳhr bahut falak-rasī par

    ḳhud apne par ab katar rahā huuñ

    yaadon mein rang bhar raha hun

    zaKHmon ko gulab kar raha hun

    har sans ek an-suni si aahaT

    main jaane kis pe mar raha hun

    duniyaen wajud pa rahi hain

    reza reza bikhar raha hun

    ek lamha-e-gum-shuda ki KHatir

    sadiyon ka hisab kar raha hun

    maqsud-e-safar hai kuchh to aisa

    sho'lon se jo guzar raha hun

    hai ek junun-e-KHud-shanasi

    aksar apne hi sar raha hun

    tufan guzar chuka hai kab ka

    ab dariya sa utar raha hun

    rishte mazbut ho rahe hain

    peshaniyon par ubhar raha hun

    tha faKHr bahut falak-rasi par

    KHud apne par ab katar raha hun

    Source:

    Kisht-e-Khayal (Pg. 75)

    • Author: Izhar warsi
      • Edition: 2008
      • Publisher: M.R. Publications
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now