Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yan hum ko jis ne mara malum ho rahega

Jurat Qalandar Bakhsh

yan hum ko jis ne mara malum ho rahega

Jurat Qalandar Bakhsh

MORE BYJurat Qalandar Bakhsh

    yaañ ham ko jis ne maarā ma.alūm ho rahegā

    mahshar meñ ḳhuuñ hamārā ma.alūm ho rahegā

    go phuul phuul kar ab to dekhtī hai bulbul

    gulshan par nazārā ma.alūm ho rahegā

    jab bahr-e-ġham meñ Duubā de chhoḌ dast-o-pā ko

    āḳhir tujhe kinārā ma.alūm ho rahegā

    ai sabr dam-ba-dam ab dard-o-alam fuzūñ hai

    jitnā hai dil yaarā ma.alūm ho rahegā

    ai āftāb-e-mahshar kholūñ huuñ daaġh dil

    chamkā agar ye taarā ma.alūm ho rahegā

    sad-sher āshiqoñ hone lagā vafūr ab

    sab hausla tumhārā ma.alūm ho rahegā

    naqsh-e-qadam se āḳhir terī galī meñ pyāre

    jis huā guzārā ma.alūm ho rahegā

    afsos raaz dil jāsūs sun ga.e haiñ

    qissa ab us ko saarā ma.alūm ho rahegā

    poshīda go hai tujh par ahvāl mere dil

    hai ye to āshkārā ma.alūm ho rahegā

    nā-chār kū-ba-kū ab tahqīq karne phiriye

    kuchh dard-e-dil chārā ma.alūm ho rahegā

    pinhāñ hai ab to lekin marne ke ba.ad 'jur.at'

    dard-e-darūñ hamārā ma.alūm ho rahegā

    yan hum ko jis ne mara malum ho rahega

    mahshar mein KHun hamara malum ho rahega

    go phul phul kar ab to dekhti hai bulbul

    gulshan ka par nazara malum ho rahega

    jab bahr-e-gham mein Duba de chhoD dast-o-pa ko

    aaKHir tujhe kinara malum ho rahega

    ai sabr dam-ba-dam ab dard-o-alam fuzun hai

    jitna hai dil ka yara malum ho rahega

    ai aaftab-e-mahshar kholun hun dagh dil ka

    chamka agar ye tara malum ho rahega

    sad-sher aashiqon ka hone laga wafur ab

    sab hausla tumhaara malum ho rahega

    naqsh-e-qadam se aaKHir teri gali mein pyare

    jis ka hua guzara malum ho rahega

    afsos raaz dil ka jasus sun gae hain

    qissa ab us ko sara malum ho rahega

    poshida go hai tujh par ahwal mere dil ka

    hai ye to aashkara malum ho rahega

    na-chaar ku-ba-ku ab tahqiq karne phiriye

    kuchh dard-e-dil ka chaara malum ho rahega

    pinhan hai ab to lekin marne ke baad 'jurat'

    dard-e-darun hamara malum ho rahega

    Source:

    Kulliyat-e-Jura t áVolume-01 â (Pg. page-152 and ebook-192)

    • Author: Jurat Qalandar Bakhsh
      • Edition: 1968
      • Publisher: Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now