Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yan us gali sa kab koi bustan hai dusra

Jurat Qalandar Bakhsh

yan us gali sa kab koi bustan hai dusra

Jurat Qalandar Bakhsh

MORE BYJurat Qalandar Bakhsh

    yaañ us galī kab koī bustāñ hai dūsrā

    haañ kuchh jo hai to rauza-e-rizvāñ hai dūsrā

    har dam ye do adū haiñ pa.e-jān-e-nā-tavāñ

    ik dard-e-ishq hai ġham-e-hijrāñ hai dūsrā

    hai turfa jān-o-dil dam-e-iztirāb haal

    rokeñ jo ek ko to gurezāñ hai dūsrā

    ā.īna jab vo dekhe to kahtī haiñ chitvaneñ

    sach hai ki ham kab koī insāñ hai dūsrā

    vo ruk ke uTh chalā to use kyūñki rokiye

    ik dast hai ba-dil ba-garebāñ hai dūsrā

    us ghar ke dar pe jab hue ham ḳhaak tab khulā

    darvāza aane jaane ko aur yaañ hai dūsrā

    kyā dil jigar us galī meñ kaheñ ḳhabar

    ik mar gayā ik aan mehmāñ hai dūsrā

    rahiye hamāre dil meñ ki laa.eq tumhāre kab

    aisā makāñ ba-kishvar-e-daurāñ hai dūsrā

    Tuk suniyo zamzame mire dil ke ki baaġh meñ

    kab is tarah murġh-e-ḳhush-alhāñ hai dūsrā

    hai turfa qismat apnī ki jis ho ek dost

    vaañ dekhiye to jaan ḳhvāhāñ hai dūsrā

    ya.anī nashist Thahrī kal us dar pe thī so haa.e

    dekhā jo aaj ke to darbāñ hai dūsrā

    yaktā hai do jahān meñ 'jur.at' alī zaat

    aisā na koī yaañ na koī vaañ hai dūsrā

    yan us gali sa kab koi bustan hai dusra

    han kuchh jo hai to rauza-e-rizwan hai dusra

    har dam ye do adu hain pae-jaan-e-na-tawan

    ek dard-e-ishq hai gham-e-hijran hai dusra

    hai turfa jaan-o-dil ka dam-e-iztirab haal

    roken jo ek ko to gurezan hai dusra

    aaina jab wo dekhe to kahti hain chitwanen

    sach hai ki hum sa kab koi insan hai dusra

    wo ruk ke uTh chala to use kyunki rokiye

    ek dast hai ba-dil ba-gareban hai dusra

    us ghar ke dar pe jab hue hum KHak tab khula

    darwaza aane jaane ko aur yan hai dusra

    kya dil jigar ki us ki gali mein kahen KHabar

    ek mar gaya ek aan ka mehman hai dusra

    rahiye hamare dil mein ki laeq tumhaare kab

    aisa makan ba-kishwar-e-dauran hai dusra

    Tuk suniyo zamzame mere dil ke ki bagh mein

    kab is tarah ka murgh-e-KHush-alhan hai dusra

    hai turfa qismat apni ki jis ja ho ek dost

    wan dekhiye to jaan ka KHwahan hai dusra

    yani nashist Thahri kal us dar pe thi so hae

    dekha jo aaj ja ke to darban hai dusra

    yakta hai do jahan mein 'jurat' ali ki zat

    aisa na koi yan na koi wan hai dusra

    Source:

    Kulliyat-e-Jura t áVolume-01 â (Pg. page-32 and E-Book-72)

    • Author: Jurat Qalandar Bakhsh
      • Edition: 1968
      • Publisher: Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now